sang-e-jaan
āb-e-ḳhufta meñ
ik sañg pheñkā to hai
dā.ere
sat.h-e-sākit pe ubhre haiñ
pheñkeñge
miT jā.eñge
aur vo sañg-e-jāñ
apnī ye dāstāñ
zer-e-bār jumūd-e-garāñ
ek sañg-e-malāmat kī mānind
dohrā.egā
vo jis kā intizār thā
vo jis kā intizār thā
shafaq ko
bādaloñ ko
rahguzar ko ābshār ko
ḳhizāñ kī pattiyoñ ko
chāñdnī ko
dhuup ko bahār ko
vo jis kī aarzū thī
sā.atoñ ko
ḳhāmushī ko
zehn ko ḳhayāl ko
tasavvur-e-muhāl ko
khanaktī pyāliyoñ ko
kursiyoñ ko
jaam ko ko nā nā-tamām ko
dopahar ko shaam ko
vo jis kī āhaTeñ samā.atoñ ke kunj meñ nihāñ thiiñ
jis kā aks
jalva-rez thā
basāratoñ kī jhiil meñ
vo kyā faqat safā kā surmagīñ ḳhirām thā
ki shāḳh-e-gul kā sāya-e-ḳhafīf thā
ki mauj-e-āb par kiran kā irti.āsh thā
jo ek pal meñ sāmne se yuuñ guzar gayā
ki vo sabhī jo muntazir the
aañkh malte rah ga.e
magar vo is tarah guzar gayā
ki yak-ba-yak vo intizār kī bisāt hī ulaT ga.ī
vo khel ḳhatm ho gayā
aur us ke ba.ad
āsmān se zamīñ
zamīñ se āsmāñ tak
ḳhalā ḳhalā ḳhalā ḳhalā
aab-e-KHufta mein
ek sang phenka to hai
daere
sath-e-sakit pe ubhre hain
phenkenge
miT jaenge
aur wo sang-e-jaan
apni ye dastan
zer-e-bar jumud-e-garan
ek sang-e-malamat ki manind
dohraega
wo jis ka intizar tha
wo jis ka intizar tha
shafaq ko
baadalon ko
rahguzar ko aabshaar ko
KHizan ki pattiyon ko
chandni ko
dhup ko bahaar ko
wo jis ki aarzu thi
saaton ko
KHamushi ko
zehn ko KHayal ko
tasawwur-e-muhaal ko
khanakti pyaliyon ko
kursiyon ko
jam ko ko na na-tamam ko
dopahar ko sham ko
wo jis ki aahaTen samaaton ke kunj mein nihan thin
jis ka aks
jalwa-rez tha
basaraton ki jhil mein
wo kya faqat safa ka surmagin KHiram tha
ki shaKH-e-gul ka saya-e-KHafif tha
ki mauj-e-ab par kiran ka irtiash tha
jo ek pal mein samne se yun guzar gaya
ki wo sabhi jo muntazir the
aankh malte rah gae
magar wo is tarah guzar gaya
ki yak-ba-yak wo intizar ki bisat hi ulaT gai
wo khel KHatm ho gaya
aur us ke baad
aasman se zamin
zamin se aasman tak
KHala KHala KHala KHala
- Book : aazaadii ke baad urdu nazm (Pg. 497)
- Author : shamiim hanfii
- Publication : national council for promotion of urdu language (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.