sankri si gali
sañkrī sī us galī meñ
donoñ taraf hazāroñ jazbāt kī
khiḌkiyāñ khultī hai
jugnū TimTimāte hai
ruuī ke phohoñ se lamhe tairte haiñ
shām-rañg sapne jhilmilāte haiñ
titliyoñ ke pañkhoñ kā sañgīt ghultā hai
reshmī lafzoñ kī ḳhushbū mahaktī hai
sañkrī sī us galī meñ terī āñkhoñ se
mere dil tak jo pahuñchtī hai
sankri si us gali mein
donon taraf hazaron jazbaat ki
khiDkiyan khulti hai
jugnu TimTimate hai
rui ke phohon se lamhe tairte hain
sham-rang sapne jhilmilate hain
titliyon ke pankhon ka sangit ghulta hai
reshmi lafzon ki KHushbu mahakti hai
sankri si us gali mein teri aankhon se
mere dil tak jo pahunchti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.