sannaTa
merī gardan mere shāne mere lab
sab ke sab vīrān haiñ
apne ghar meñ ek maiñ huuñ
aur kaalī raat kā pur-haul sannāTā
kisī ke paañv kī aahaT nahīñ
chūḌiyoñ aur bartanoñ kī khan-khanāhaT bhī nahīñ
suuī dhāge ek duuje se bhare baiThe hue haiñ
dhuul meñ lipTī kitābeñ
mez par bikhrī paḌī haiñ
aur chūlhā
lakḌiyoñ kī yaad meñ gum-sum
ek kone meñ paḌā hai
aur ik an-jānā saayā
ghar kī chaukhaT par khaḌā hai
ik hasīñ-tasvīr jo dīvār par laTkī huī hai
dekh kar mujh ko malūl
chupke chupke ro rahī hai
aur kaalī raat kā pur-haul sannāTā
khilkhilā kar hañs rahā hai
meri gardan mere shane mere lab
sab ke sab viran hain
apne ghar mein ek main hun
aur kali raat ka pur-haul sannaTa
kisi ke panw ki aahaT nahin
chuDiyon aur bartanon ki khan-khanahaT bhi nahin
sui dhage ek duje se bhare baiThe hue hain
dhul mein lipTi kitaben
mez par bikhri paDi hain
aur chulha
lakDiyon ki yaad mein gum-sum
ek kone mein paDa hai
aur ek an-jaana saya
ghar ki chaukhaT par khaDa hai
ek hasin-taswir jo diwar par laTki hui hai
dekh kar mujh ko malul
chupke chupke ro rahi hai
aur kali raat ka pur-haul sannaTa
khilkhila kar hans raha hai
- Book : Ak Qatra ak Samandar (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.