dilkashī go ufuq-tā-ufuq hai magar
dilkashī kuchh nahīñ
sarḳhushī bhī tabaq-dar-tabaq hai magar
sarḳhushī kuchh nahīñ
rāgnī kuchh nahīñ chāñdnī kuchh nahīñ
āñchaloñ meñ koī sarsarāhaT nahīñ
pāyaloñ kī kahīñ chhan-chhanāhaT nahīñ
panghaToñ par bhī kuchh gungunāhaT nahīñ
rasmasāhaT nahīñ jagmagāhaT nahīñ
muskurāhaT nahīñ
chup haiñ pagDañDiyāñ
sar-nigūñ bāliyāñ
sog meñ ġharq haiñ sar-ba-sar khetiyāñ
bevgī kā samāñ
qahqahoñ par hai āh-o-fuġhāñ kā gumāñ
zindagī ek bār-e-garāñ
saare sīnoñ meñ hai ik ḳhalish ik jalan
girya-e-ġham kā har-sū chalan
dil kī dhaḌkan hai siskāriyoñ kī tarah
desh hai mubtalā rog meñ
aadmī ġharq hai sog meñ
dhartī āzār ho kar bhī tārāj hai
zindagī kī kahīñ koī aahaT nahīñ
duur tak maut hī maut kā raaj hai
aadmī ik tabassum ko muhtāj hai
dilkashi go ufuq-ta-ufuq hai magar
dilkashi kuchh nahin
sarKHushi bhi tabaq-dar-tabaq hai magar
sarKHushi kuchh nahin
ragni kuchh nahin chandni kuchh nahin
aanchalon mein koi sarsarahaT nahin
payalon ki kahin chhan-chhanahaT nahin
panghaTon par bhi kuchh gungunahaT nahin
rasmasahaT nahin jagmagahaT nahin
muskurahaT nahin
chup hain pagDanDiyan
sar-nigun baaliyan
sog mein gharq hain sar-ba-sar khetiyan
bewgi ka saman
qahqahon par hai aah-o-fughan ka guman
zindagi ek bar-e-garan
sare sinon mein hai ek KHalish ek jalan
girya-e-gham ka har-su chalan
dil ki dhaDkan hai siskariyon ki tarah
desh hai mubtala rog mein
aadmi gharq hai sog mein
dharti aazar ho kar bhi taraj hai
zindagi ki kahin koi aahaT nahin
dur tak maut hi maut ka raj hai
aadmi ek tabassum ko muhtaj hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.