sannaTa
muḳhtalif mauzuāt par
raat bhar bāteñ karke vo log
thak chuke the
aur phir
aise va.adoñ meñ bañdh ga.e the
jis kā puurā honā mumkin na thā
kyūñki kuchh lamhoñ ba.ad
vo sab apnā apnā sāmān uThā.e
muḳhtalif rāstoñ par chal paḌe the
aur station par sannāTā thā
muKHtalif mauzuat par
raat bhar baaten karke wo log
thak chuke the
aur phir
aise wadon mein bandh gae the
jis ka pura hona mumkin na tha
kyunki kuchh lamhon baad
wo sab apna apna saman uThae
muKHtalif raston par chal paDe the
aur station par sannaTa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.