sapnon ka jahan
mehnat kā kaḌā din Dhalte hī
jab raat suhānī aatī hai
jab chāñd sitāroñ se fitrat
ākāsh kī maañg sajātī hai
jab barbat-o-nai baj uThte haiñ
paa.el kī sadā lahrātī hai
tab niiñd se bojhal āñkhoñ meñ
sapnoñ kī vo pariyāñ aatī haiñ
sun sun ke madhur lorī jin kī
dukhtā huā dil so jaatā hai
dukhtā huā man so jaatā hai
aur raat Dhale sapnoñ kā jahāñ
yuuñ lagtā hai jaise rāhat-e-jāñ
sapnoñ ke jahāñ meñ ai hamdam
mahbūb kī qurbat hotī hai
dīdār kī saa.at hotī hai
is sā.at-e-rangīñ meñ pinhāñ
dāman kī havā zulfoñ kī mahak
hoñToñ kī lapak bāñhoñ kī lachak
mehrābeñ umañDte sīnoñ kī
sarshār-e-mohabbat kartī haiñ
aur raat pighaltī rahtī hai
sapnoñ ke jahāñ meñ ham donoñ
ik peḌ ke nīche baiThe hue
mahtāb ko takte rahte haiñ
phir sub.h kā taarā ugtā hai
duniyā meñ sahar ho jaatī hai
mehnat ka kaDa din Dhalte hi
jab raat suhani aati hai
jab chand sitaron se fitrat
aakash ki mang sajati hai
jab barbat-o-nai baj uThte hain
pael ki sada lahraati hai
tab nind se bojhal aankhon mein
sapnon ki wo pariyan aati hain
sun sun ke madhur lori jin ki
dukhta hua dil so jata hai
dukhta hua man so jata hai
aur raat Dhale sapnon ka jahan
yun lagta hai jaise rahat-e-jaan
sapnon ke jahan mein ai hamdam
mahbub ki qurbat hoti hai
didar ki saat hoti hai
is saat-e-rangin mein pinhan
daman ki hawa zulfon ki mahak
honTon ki lapak banhon ki lachak
mehraben umanDte sinon ki
sarshaar-e-mohabbat karti hain
aur raat pighalti rahti hai
sapnon ke jahan mein hum donon
ek peD ke niche baiThe hue
mahtab ko takte rahte hain
phir subh ka tara ugta hai
duniya mein sahar ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.