sar-e-sham
abhī to manzar-e-gul da.avat-e-nazāra thā
abhī to dīda-o-dil kār-zār-e-hastī haiñ
rah-e-najāt kā unvān banñe vaale the
abhī to shaam ke is mauj-ḳhez dariyā meñ
navā-o-saut kā tūfān uThne vaalā thā
nihāñ talātum-e-lā-intihā thā siine meñ
abhī se kyuuñ mire naale laboñ pe suukh ga.e
abhī se mohr-ba-lab kyuuñ huī navā-e-ḳharosh
abhī se kyuuñ dil-e-betāb tāb-e-ġham laayā
abhī to jaañ pe bahut qarz the zamāne ke
abhi to manzar-e-gul dawat-e-nazara tha
abhi to dida-o-dil kar-zar-e-hasti hain
rah-e-najat ka unwan banne wale the
abhi to sham ke is mauj-KHez dariya mein
nawa-o-saut ka tufan uThne wala tha
nihan talatum-e-la-intiha tha sine mein
abhi se kyun mere nale labon pe sukh gae
abhi se mohr-ba-lab kyun hui nawa-e-KHarosh
abhi se kyun dil-e-betab tab-e-gham laya
abhi to jaan pe bahut qarz the zamane ke
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 29)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.