sar-zamin-e-yas
jiine se dil bezār hai
har saañs ik āzār hai
kitnī hazīñ hai zindagī
andoh-gīñ hai zindagī
vo bazm-e-ahbāb-e-vatan
vo ham-navāyān-e-suḳhan
aate haiñ jis dam yaad ab
karte haiñ dil nāshād ab
guzrī huī rañgīniyāñ
khoī huī dilchaspiyāñ
pahroñ rulātī haiñ mujhe
akasr satātī haiñ mujhe
vo zamzame vo chahchahe
vo rūh-afzā qahqahe
jab dil ko maut aa.ī na thī
yuuñ be-hisī chhā.ī na thī
college kī rañgīñ vādiyāñ
vo dil nashīñ ābādiyāñ
vo nāznīnān-e-vatan
zohra-jabīnān-e-vatan
jin meñ se ik rañgīñ qabā
ātish-nafs ātish-navā
kar ke mohabbat āshnā
rañg-e-aqīdat āshnā
mere dil-e-nākām ko
ḳhūñ-gashta-e-ālām ko
dāġh-e-judā.ī de ga.ī
saarī ḳhudā.ī le ga.ī
un sā.atoñ kī yaad meñ
un rāhatoñ kī yaad meñ
maġhmūm sā rahtā huuñ maiñ
ġham kī kasak sahtā huuñ maiñ
suntā huuñ jab ahbāb se
qisse ġham-e-ayyām ke
betāb ho jaatā huuñ maiñ
aahoñ meñ kho jaatā huuñ maiñ
phir vo azīz-o-aqribā
jo toḌ kar ahd-e-vafā
ahbāb se muñh moḌ kar
duniyā se rishta toḌ kar
hadd-e-ufuq se us taraf
rañg-e-shafaq se us taraf
ik vādī-e-ḳhāmosh kī
ik ālam-e-behosh kī
gahrā.iyoñ meñ sau ga.e
tārīkiyoñ meñ kho ga.e
un kā tasavvur nā-gahāñ
letā hai dil meñ chuTkiyāñ
aur ḳhuuñ rulātā hai mujhe
be-kal banātā hai mujhe
vo gaañv kī ham-joliyāñ
maflūk dahqāñ-zādiyāñ
jo dast-e-fart-e-yās se
aur yūrish-e-aflās se
ismat luTā kar rah ga.iiñ
ḳhud ko gañvā kar rah ga.iiñ
ġhamgīñ javānī ban ga.iiñ
rusvā kahānī ban ga.iiñ
un se kabhī galiyoñ meñ ab
hotā huuñ maiñ do-chār jab
nazreñ jhukā letā huuñ maiñ
ḳhud ko chhupā letā huuñ maiñ
kitnī hazīñ hai zindagī
andoh-gīñ hai zindagī
jine se dil bezar hai
har sans ek aazar hai
kitni hazin hai zindagi
andoh-gin hai zindagi
wo bazm-e-ahbab-e-watan
wo ham-nawayan-e-suKHan
aate hain jis dam yaad ab
karte hain dil nashad ab
guzri hui ranginiyan
khoi hui dilchaspiyan
pahron rulati hain mujhe
akasr satati hain mujhe
wo zamzame wo chahchahe
wo ruh-afza qahqahe
jab dil ko maut aai na thi
yun be-hisi chhai na thi
college ki rangin wadiyan
wo dil nashin aabaadiyan
wo nazninan-e-watan
zohra-jabinan-e-watan
jin mein se ek rangin qaba
aatish-nafs aatish-nawa
kar ke mohabbat aashna
rang-e-aqidat aashna
mere dil-e-nakaam ko
KHun-gashta-e-alam ko
dagh-e-judai de gai
sari KHudai le gai
un saaton ki yaad mein
un rahaton ki yaad mein
maghmum sa rahta hun main
gham ki kasak sahta hun main
sunta hun jab ahbab se
qisse gham-e-ayyam ke
betab ho jata hun main
aahon mein kho jata hun main
phir wo aziz-o-aqriba
jo toD kar ahd-e-wafa
ahbab se munh moD kar
duniya se rishta toD kar
hadd-e-ufuq se us taraf
rang-e-shafaq se us taraf
ek wadi-e-KHamosh ki
ek aalam-e-behosh ki
gahraiyon mein sau gae
tarikiyon mein kho gae
un ka tasawwur na-gahan
leta hai dil mein chuTkiyan
aur KHun rulata hai mujhe
be-kal banata hai mujhe
wo ganw ki ham-joliyan
mafluk dahqan-zadiyan
jo dast-e-fart-e-yas se
aur yurish-e-aflas se
ismat luTa kar rah gain
KHud ko ganwa kar rah gain
ghamgin jawani ban gain
ruswa kahani ban gain
un se kabhi galiyon mein ab
hota hun main do-chaar jab
nazren jhuka leta hun main
KHud ko chhupa leta hun main
kitni hazin hai zindagi
andoh-gin hai zindagi
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.