sarab
maiñ jahāñ thā
vahāñ tīrgī thī ḳhamoshī thī afsurdagī thī
mire kaan naġhmoñ se mahrūm the
siskiyāñ mere hoñToñ kī mīrās thiiñ
merī āñkheñ kisī sail-e-pur-nūr kī muntazir thiiñ
mirī zindagī raakh kā Dher thī
maiñ yahāñ aa gayā
is tarah ḳhuld meñ
us musalsal aziyyat se kāhish se bachne kī ḳhātir
ki jis se faqat ek maiñ hī nahīñ
mere jaise ka.ī aur bhī jāñ-ba-lab the
tirā ḳhuld mere liye
mere jaise ka.ī dūsroñ ke liye
raushnī naġhmagī sarḳhushī kī alāmat thā ye!
maiñ jahāñ huuñ
vahāñ tīrgī hai ḳhamoshī hai afsurdagī hai
mire kaan naġhmoñ se mahrūm haiñ
siskiyāñ mere kānoñ kī mīrās haiñ
merī āñkheñ kisī sail-e-pur-nūr kī muntazir haiñ
merī zindagī raakh kā Dher hai!
main jahan tha
wahan tirgi thi KHamoshi thi afsurdagi thi
mere kan naghmon se mahrum the
siskiyan mere honTon ki miras thin
meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir thin
meri zindagi rakh ka Dher thi
main yahan aa gaya
is tarah KHuld mein
us musalsal aziyyat se kahish se bachne ki KHatir
ki jis se faqat ek main hi nahin
mere jaise kai aur bhi jaan-ba-lab the
tera KHuld mere liye
mere jaise kai dusron ke liye
raushni naghmagi sarKHushi ki alamat tha ye!
main jahan hun
wahan tirgi hai KHamoshi hai afsurdagi hai
mere kan naghmon se mahrum hain
siskiyan mere kanon ki miras hain
meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir hain
meri zindagi rakh ka Dher hai!
- Book : Rag-e-jan (Pg. 87)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.