sarab-e-tahzib
kishvar-e-maġhrib alam-bardār-e-tahzīb-e-jadīd
aa dikhā duuñ maiñ tujhe anvār-e-tahzīb-e-jadīd
tū samajhtā hai jise apnī taraqqī kā kamāl
ḳhatm hotī hai yahīñ par āḳhirī hadd-e-zavāl
tū ne ai ġhāfil samajh rakhā hai jis ko bām-e-auj
hai ye tūfān-e-halākat-āfrīñ kī ek mauj
tū taraqqī kah rahā hai jis ko duniyā ke ġhulām
hai ye terī pastī-e-aḳhlāq kā ik aur naam
maiñ ne maanā hai anāsir par hukūmat terī aaj
terī haibat le rahī hai bādshāhoñ se ḳhirāj
raushnī science kī go tere aivānoñ meñ hai
nūr-e-īmānī bhī lekin dil ke kāshānoñ meñ hai
aql kī sham.oñ se go raushan haiñ fānūs-e-dimāġh
dil kī zulmat meñ jalāyā bhī kabhī tū ne charāġh
shaukat-e-kisrā o shān-e-jam to darbāroñ meñ hai
jins-e-nāyāb-e-vafā bhī tere bāzāroñ meñ hai
aks-e-īsār-o-sadāqat bhī ruḳh-e-raushan meñ hai
mehr-o-ulfat kā bhī koī phuul is gulshan meñ hai
sāz-o-sāmān-e-tarab sab kuchh tirī mahfil meñ hai
dard-e-insānī kā bhī jalva kisī ke dil meñ hai
māddiyat ke nashe se mast hai terā ġhurūr
kyā magar dil ko tire hāsil hai rūhānī surūr
ye nahīñ to faḳhr is tahzīb par be-kār hai
nang-e-insāñ ye tamaddun maujib-e-sad-ār hai
kishwar-e-maghrib alam-bardar-e-tahzib-e-jadid
aa dikha dun main tujhe anwar-e-tahzib-e-jadid
tu samajhta hai jise apni taraqqi ka kamal
KHatm hoti hai yahin par aaKHiri hadd-e-zawal
tu ne ai ghafil samajh rakha hai jis ko baam-e-auj
hai ye tufan-e-halakat-afrin ki ek mauj
tu taraqqi kah raha hai jis ko duniya ke ghulam
hai ye teri pasti-e-aKHlaq ka ek aur nam
main ne mana hai anasir par hukumat teri aaj
teri haibat le rahi hai baadshahon se KHiraj
raushni science ki go tere aiwanon mein hai
nur-e-imani bhi lekin dil ke kashanon mein hai
aql ki shamon se go raushan hain fanus-e-dimagh
dil ki zulmat mein jalaya bhi kabhi tu ne charagh
shaukat-e-kisra o shan-e-jam to darbaron mein hai
jins-e-nayab-e-wafa bhi tere bazaron mein hai
aks-e-isar-o-sadaqat bhi ruKH-e-raushan mein hai
mehr-o-ulfat ka bhi koi phul is gulshan mein hai
saz-o-saman-e-tarab sab kuchh teri mahfil mein hai
dard-e-insani ka bhi jalwa kisi ke dil mein hai
maddiyat ke nashe se mast hai tera ghurur
kya magar dil ko tere hasil hai ruhani surur
ye nahin to faKHr is tahzib par be-kar hai
nang-e-insan ye tamaddun maujib-e-sad-ar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.