sarab-e-zat
maiñ vo nahīñ huuñ
maiñ huuñ jo shāyad
maiñ apne hone se kuchh alag huuñ
hayāt kī kuchh alāmatoñ meñ
nigār-e-jāñ kī qabāhatoñ meñ
fareb jaisī sadāqatoñ meñ
tamām andhī basāratoñ meñ
maiñ ḳhud ko āvāz de rahā huuñ
na jaane kab se yahīñ khaḌā huuñ
magar maiñ huuñ kab
ye mere hone kā ek dhoka
mujhe bhī hairān kar rahā hai
ki maiñ kahīñ huuñ
maiñ vo nahīñ huuñ
maiñ.... vo nahīñ huuñ
main wo nahin hun
main hun jo shayad
main apne hone se kuchh alag hun
hayat ki kuchh alamaton mein
nigar-e-jaan ki qabahaton mein
fareb jaisi sadaqaton mein
tamam andhi basaraton mein
main KHud ko aawaz de raha hun
na jaane kab se yahin khaDa hun
magar main hun kab
ye mere hone ka ek dhoka
mujhe bhi hairan kar raha hai
ki main kahin hun
main wo nahin hun
main wo nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.