vasl ke fasāne se
hijr ke zamāne tak
fāsla hai sadiyoñ kā
fāsla kuchh aisā hai
umr kī masāfat bhī
jis ko tai na kar paa.e
manziloñ ke milne tak
aarzū hī mar jaa.e
chaar samt aahoñ ke
dil-figār manzar haiñ
manzaroñ kī bārish meñ
aañkh bhīgī rahtī hai
aa.ine se kahtī hai
kis liye sañvartī hoñ
kyuuñ siñghār kartī huuñ
ajnabī musāfir kā
intizār kartī huuñ
roz roz jiitī huuñ
roz roz martī huuñ
wasl ke fasane se
hijr ke zamane tak
fasla hai sadiyon ka
fasla kuchh aisa hai
umr ki masafat bhi
jis ko tai na kar pae
manzilon ke milne tak
aarzu hi mar jae
chaar samt aahon ke
dil-figar manzar hain
manzaron ki barish mein
aankh bhigi rahti hai
aaine se kahti hai
kis liye sanwarti hon
kyun singhaar karti hun
ajnabi musafir ka
intizar karti hun
roz roz jiti hun
roz roz marti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.