sarab
tire āb-e-ġham kī talāsh par
mirī zindagī kī asaas hai
mire dil se tere sarāb tak
mirā rāsta tirī aas hai
vo iram adan kahīñ kho ga.e
yahī chob-e-jāñ mire paas hai
yahī reg-e-dil mirā jism hai
yahī dasht dard-e-libās hai
isī dasht-e-dard meñ duur tak
tirī aas hai mirī pyaas hai
tere aab-e-gham ki talash par
meri zindagi ki asas hai
mere dil se tere sarab tak
mera rasta teri aas hai
wo iram adan kahin kho gae
yahi chob-e-jaan mere pas hai
yahi reg-e-dil mera jism hai
yahi dasht dard-e-libas hai
isi dasht-e-dard mein dur tak
teri aas hai meri pyas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.