sarabon ka safar
dasht-e-imkān meñ jaarī hai
sarāboñ kā safar
ek sahrā-e-junūñ
hadd-e-nazar hai haa.il
shāḳh-e-zaitūn pe
āvāz kā panchhī ghāyal
daur-e-pāzeb kī chham chham hai
chamaktī shai hai
rah-guzar koī nahīñ
dhuñd ke manzar ke sivā
ik tirī yādoñ ke sivā
har taraf ret ke uTThe haiñ bagūle
hātim
naqsh-e-pā koī nahīñ
ḳhuun ke qatroñ ke so
ik sadī biit ga.ī
ek zamāna guzrā
ab yaqīñ kaise ho
hoñT tishna haiñ mire
ḳhushk gila hai ab bhī
har taraf karb-o-balā hai ab bhī
dasht-e-imkān meñ jaarī hai
sarāboñ kā safar
dasht-e-imkan mein jari hai
sarabon ka safar
ek sahra-e-junun
hadd-e-nazar hai hail
shaKH-e-zaitun pe
aawaz ka panchhi ghayal
daur-e-pazeb ki chham chham hai
chamakti shai hai
rah-guzar koi nahin
dhund ke manzar ke siwa
ek teri yaadon ke siwa
har taraf ret ke uTThe hain bagule
hatim
naqsh-e-pa koi nahin
KHun ke qatron ke so
ek sadi bit gai
ek zamana guzra
ab yaqin kaise ho
honT tishna hain mere
KHushk gila hai ab bhi
har taraf karb-o-bala hai ab bhi
dasht-e-imkan mein jari hai
sarabon ka safar
- Book : Aatish Fishan (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.