sarae
larazte kāñpte kamzor būḌhe sūraj kā
lahū bahā chukā qazzāq-e-āfrīda-e-shab
na.ī navelī suhāgan kī maañg kī mānind
siyāh jhiil ke paanī meñ surḳh surḳh lakīr
tamām kashtiyāñ sāhil kī samt lauT ga.iiñ
vo duur chand gharoñdoñ kī chhoTī sī bastī
basī huī hai jo ḳhushbū-e-māhī-o-mai meñ
abhī abhī ye añdheroñ meñ Duub jā.egī
parinde apne baseroñ kī samt uḌ bhī ga.e
na bāñsurī hai na bheḌeñ haiñ aur na charvāhe
ghanī ghanī sī udāsī thakī thakī sī ye shaam
zarā zarā sā ujālā hai ab bhī lauT chaleñ
isī chaTān pe kal koī aur baiThā thā
isī chaTān pe kal koī aur baiThegā
larazte kanpte kamzor buDhe suraj ka
lahu baha chuka qazzaq-e-afrida-e-shab
nai naweli suhagan ki mang ki manind
siyah jhil ke pani mein surKH surKH lakir
tamam kashtiyan sahil ki samt lauT gain
wo dur chand gharondon ki chhoTi si basti
basi hui hai jo KHushbu-e-mahi-o-mai mein
abhi abhi ye andheron mein Dub jaegi
parinde apne baseron ki samt uD bhi gae
na bansuri hai na bheDen hain aur na charwahe
ghani ghani si udasi thaki thaki si ye sham
zara zara sa ujala hai ab bhi lauT chalen
isi chaTan pe kal koi aur baiTha tha
isi chaTan pe kal koi aur baiThega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.