sarapa
dāmān-e-gul qabā-e-sabā chehra-e-sahar
haiñ musta.ār jis se ye saare tasavvurāt
vo shaḳhs mere man kā mire zehn kā jamāl
vo shaḳhs merī jān-e-ġhazal jān-e-fikr-o-fan
sheroñ meñ us ke husn kī tahdāriyoñ kā aks
har gosha-e-nigāh dhanak-rang ik jahāñ
jaise shafaq fazā-e-suḳhan par muhīt ho
jaise kiran ubharte hue māhtāb kī
dāman meñ harf harf hai sahbā liye hue
ḳhushbū kā raushnī kā sarāpā liye hue
daman-e-gul qaba-e-saba chehra-e-sahar
hain mustaar jis se ye sare tasawwuraat
wo shaKHs mere man ka mere zehn ka jamal
wo shaKHs meri jaan-e-ghazal jaan-e-fikr-o-fan
sheron mein us ke husn ki tahdariyon ka aks
har gosha-e-nigah dhanak-rang ek jahan
jaise shafaq faza-e-suKHan par muhit ho
jaise kiran ubharte hue mahtab ki
daman mein harf harf hai sahba liye hue
KHushbu ka raushni ka sarapa liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.