sard kohre bhari raat mein
sard kohre bharī raat meñ
aao
raat bhar tāpeñ alaav
raat bhar sunā.eñ
ham apnī dāstān
jis kī ibārat tum ne likhī thī
alaav kī garmī meñ
pighlegā merā ġham
āhista āhista
bas tum se iltijā hai
ki uThnā mat
bhar lenā mujhe apnī bāñhoñ meñ
taaki maiñ itnā ro sakūñ
ki bhiig jaa.e tumhārā dāman
aur tumhārī ḳhāmosh āñkhoñ se
gir paḌe
do buuñd aañsū
alaav kī aañch par
sard kohre bhari raat mein
aao
raat bhar tapen alaw
raat bhar sunaen
hum apni dastan
jis ki ibarat tum ne likhi thi
alaw ki garmi mein
pighlega mera gham
aahista aahista
bas tum se iltija hai
ki uThna mat
bhar lena mujhe apni banhon mein
taki main itna ro sakun
ki bhig jae tumhaara daman
aur tumhaari KHamosh aankhon se
gir paDe
do bund aansu
alaw ki aanch par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.