sard, tarik raat
is qadar tiira o sard hargiz na thā dil kā mausam kabhī
ek pal meñ ḳhudā jaane kyā ho gayā
chāñd kī vādiyoñ meñ utar aa.ī shab!
maiñ vo tanhā subuk-pā musāfir thā takmīl kī justujū
khīñch laa.ī thī ik roz jis ko yahāñ
aarzū thī mujhe maiñ zamīñ ke liye
merī tarrār purkār chashm-e-nihāñ
fāsloñ sarhadoñ
vaqt ke sab hisāroñ ke us paar kī
shahr-e-imroz meñ
an-ginat ḳhūbsūrat tasāvīr āvezāñ kar degī jab
duur kī har pur-asrār sarshār āvāz mere lahū meñ utar jā.egī
mere dāman ko phūloñ se bhar jā.egī
sard se sard-tar
har ghaḌī ho rahī hai rag-o-pai meñ bahte anāsir kī rau
shab guzar jā.egī
chāñd kī munjamid vādiyoñ meñ sulagtī huī raushnī
sub.h-dam ek pal meñ umañD aa.egī
mujh ko Dar hai magar
sā.at-e-nau ke hañgām se peshtar
tiira sard shab kā bhayānak amal
dil ke āfāq par
ho na jaa.e kahīñ maut tak hukmarāñ
ḳhatm ho jaa.e takmīl kī dāstāñ!!
is qadar tera o sard hargiz na tha dil ka mausam kabhi
ek pal mein KHuda jaane kya ho gaya
chand ki wadiyon mein utar aai shab!
main wo tanha subuk-pa musafir tha takmil ki justuju
khinch lai thi ek roz jis ko yahan
aarzu thi mujhe main zamin ke liye
meri tarrar purkar chashm-e-nihan
faslon sarhadon
waqt ke sab hisaron ke us par ki
shahr-e-imroz mein
an-ginat KHubsurat tasawir aawezan kar degi jab
dur ki har pur-asrar sarshaar aawaz mere lahu mein utar jaegi
mere daman ko phulon se bhar jaegi
sard se sard-tar
har ghaDi ho rahi hai rag-o-pai mein bahte anasir ki rau
shab guzar jaegi
chand ki munjamid wadiyon mein sulagti hui raushni
subh-dam ek pal mein umanD aaegi
mujh ko Dar hai magar
saat-e-nau ke hangam se peshtar
tera sard shab ka bhayanak amal
dil ke aafaq par
ho na jae kahin maut tak hukmaran
KHatm ho jae takmil ki dastan!!
- Book : shab khuun (7) (rekhta website) (Pg. 21)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.