aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhund

Bilal Ahmad

dhund

Bilal Ahmad

MORE BYBilal Ahmad

    jab december meñ dhund utartī hai

    apne asrār meñ lipaTtī huii, tah-ba-tah ham pe faash hotī huī

    ye kisī yaad ke december se dil saḌkoñ pe aa nikaltī hai

    raah to raah dil nahīñ miltā dhund jab ham meñ aa Thahartī hai

    kaif sub.h-e-ḳhush-muqaddar meñ, ye dar-e-rāz ham pe khultā hai

    jaise dil se kisī payambar ke, rab pahlī vahī guzartī hai

    raah chalte hue musāfir par yuuñ december meñ dhund utartī hai

    baaġh bhii, raah bhii, musāfir bhī raaz ke ik maqām meñ chup haiñ

    dhund in sab se baat kartī hai aur ye ehtirām meñ chup haiñ

    dhund meñ ik namī bosa hai

    merī āsūdgī ke hāthoñ par ek bisrī kamī bosa hai

    ek bhūlī huī kamī jaise, dhund meñ yaad namī jaise

    mere hāthoñ meñ haath Daale hue merī ā.ankhoñ se baat kartī hai

    apne asrār meñ lipaTtī huī jab december meñ dhund utartī hai

    jab december mein dhund utarti hai

    apne asrar mein lipaTti hui, tah-ba-tah hum pe fash hoti hui

    ye kisi yaad ke december se dil ki saDkon pe aa nikalti hai

    rah to rah dil nahin milta dhund jab hum mein aa Thaharti hai

    kaif ki subh-e-KHush-muqaddar mein, ye dar-e-raaz hum pe khulta hai

    jaise dil se kisi payambar ke, rab ki pahli wahi guzarti hai

    rah chalte hue musafir par yun december mein dhund utarti hai

    bagh bhi, rah bhi, musafir bhi raaz ke ek maqam mein chup hain

    dhund in sab se baat karti hai aur ye ehtiram mein chup hain

    dhund mein ek nami ka bosa hai

    meri aasudgi ke hathon par ek bisri kami ka bosa hai

    ek bhuli hui kami jaise, dhund mein yaad ki nami jaise

    mere hathon mein hath Dale hue meri aaankhon se baat karti hai

    apne asrar mein lipaTti hui jab december mein dhund utarti hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now