sardi
sardī bārish ke ba.ad aatī hai
ik shagūfa nayā khilātī hai
din sikuḌtā hai raat baḌhtī hai
kohre kī hukmarānī hotī hai
is meñ shabnam Tapaktī hai gul par
is se hotā hai ḳhushk gulshan-e-tar
is meñ aatā hai barg-e-gul pe shabāb
is meñ khilte haiñ har tarah ke gulāb
ye dikhātī hai jab asar apnā
saarā māhaul hotā hai ThanDā
jab havā ḳhuub ThanDī chaltī hai
jaan aafat meñ sab kī aatī hai
bachche būḌhe javān mard o zan
saare mahsūs karte haiñ uljhan
jism jab un kā tharātā hai
daañt apne har ik bajātā hai
yā to kambal meñ raat kāTte haiñ
yā razā.ī meñ muñh chhupāte haiñ
shab ko chūlhā gharoñ meñ jaltā hai
din meñ sūraj se chain miltā hai
shaal muflar se miltī hai rāhat
coat sweater se baḌhtī hai chāhat
jab havā sard sard chaltī hai
soch 'sāhil' kī nazm bantī hai
sardi barish ke baad aati hai
ek shagufa naya khilati hai
din sikuDta hai raat baDhti hai
kohre ki hukmarani hoti hai
is mein shabnam Tapakti hai gul par
is se hota hai KHushk gulshan-e-tar
is mein aata hai barg-e-gul pe shabab
is mein khilte hain har tarah ke gulab
ye dikhati hai jab asar apna
sara mahaul hota hai ThanDa
jab hawa KHub ThanDi chalti hai
jaan aafat mein sab ki aati hai
bachche buDhe jawan mard o zan
sare mahsus karte hain uljhan
jism jab un ka tharaata hai
dant apne har ek bajata hai
ya to kambal mein raat kaTte hain
ya razai mein munh chhupate hain
shab ko chulha gharon mein jalta hai
din mein suraj se chain milta hai
shaal muflar se milti hai rahat
coat sweater se baDhti hai chahat
jab hawa sard sard chalti hai
soch 'sahil' ki nazm banti hai
- Book : Tazgi (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.