sarhad
kyā ḳhuub ho gar is duniyā se
sarhad kā naam ḳhatm ho jaa.e
saare des.... sab ke des hoñ
ruuh ko jism
aur jism ko ruuh se milne ke liye
kisī viize kī zarūrat na ho
jo chāhe, jab chāhe, jahāñ chāhe
jis se mile....
jo chāhe, jab chāhe, jahāñ chāhe
chalā jaa.e....
koī pābandī na ho....
kāġhaz pe lagā.ī huī lakīroñ se
duniyā ke is naqshe par
nafrat bāñTne vāloñ ke
ḳhvāb adhūre rah jaa.eñ....
kyā ḳhuub ho gar is duniyā se
sarhad kā naam ḳhatm ho jaa.e
kya KHub ho gar is duniya se
sarhad ka nam KHatm ho jae
sare des sab ke des hon
ruh ko jism
aur jism ko ruh se milne ke liye
kisi wize ki zarurat na ho
jo chahe, jab chahe, jahan chahe
jis se mile
jo chahe, jab chahe, jahan chahe
chala jae
koi pabandi na ho
kaghaz pe lagai hui lakiron se
duniya ke is naqshe par
nafrat banTne walon ke
KHwab adhure rah jaen
kya KHub ho gar is duniya se
sarhad ka nam KHatm ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.