sarhad-par ka ek KHat paDh kar
davā kī shīshī meñ
sūraj
udaas kamre meñ chāñd
ukhaḌtī sāñsoñ meñ rah rah ke
ek naam kī gūñj....!
tumhāre ḳhat ko ka.ī baar paḌh chukā huuñ maiñ
koī faqīr khaḌā giḌgiḌā rahā thā abhī
binā uThe use dhutkār kar bhagā bhī chukā
galī meñ khel rahā thā paḌos kā bachcha
bulā kar paas use maar kar rulā bhī chukā
bas ek āḳhirī cigarette bachā thā packet meñ
use bhī phūñk chukā
ghis chukā
bujhā bhī chukā
na jaane vaqt hai kyā duur tak hai sannāTā
faqat muñDer ke pinjre meñ ūñghtā panchhī
kabhī kabhī yūñhī panje chillāne lagtā hai
phir apne-āp hī
daane uThāne lagtā hai
tumhāre ḳhat ko.....
dawa ki shishi mein
suraj
udas kamre mein chand
ukhaDti sanson mein rah rah ke
ek nam ki gunj!
tumhaare KHat ko kai bar paDh chuka hun main
koi faqir khaDa giDgiDa raha tha abhi
bina uThe use dhutkar kar bhaga bhi chuka
gali mein khel raha tha paDos ka bachcha
bula kar pas use mar kar rula bhi chuka
bas ek aaKHiri cigarette bacha tha packet mein
use bhi phunk chuka
ghis chuka
bujha bhi chuka
na jaane waqt hai kya dur tak hai sannaTa
faqat munDer ke pinjre mein unghta panchhi
kabhi kabhi yunhi panje chillane lagta hai
phir apne-ap hi
dane uThane lagta hai
tumhaare KHat ko
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.