sarhaden
koī to ho is jahāñ meñ aisā
ki jis ke bas meñ ho saarī duniyā
kī sarhadoñ kī sabhī lakīreñ
jahāñ ke naqshe se ek pal meñ
kisī jatan se miTā ke rakh de
ye āhanī ḳhār-dār tāreñ
zamīn ke saath dil ke rishte bhī bāñTtī haiñ
ka.ī diloñ meñ tavīl arse se chubh rahī haiñ
koī to un ko ukhāḌ pheñke
koī to ho jo tamām duniyā
ko ek ḳhitte kī shakl de de
agar koī mo.ajiza dikhā de
to saare insān jab bhī chāheñ
phir apne pyāroñ se mil sakeñge
baġhair visa kī bandishoñ ke
sahūlatoñ se masarratoñ se
phir is ke badle agar vo mujh se
mirī matā-e-hayāt māñge
to ek pal ko bhī maiñ na sochūñ
ḳhushī ḳhushī us ko daan kar duuñ
koi to ho is jahan mein aisa
ki jis ke bas mein ho sari duniya
ki sarhadon ki sabhi lakiren
jahan ke naqshe se ek pal mein
kisi jatan se miTa ke rakh de
ye aahani KHar-dar taren
zamin ke sath dil ke rishte bhi banTti hain
kai dilon mein tawil arse se chubh rahi hain
koi to un ko ukhaD phenke
koi to ho jo tamam duniya
ko ek KHitte ki shakl de de
agar koi moajiza dikha de
to sare insan jab bhi chahen
phir apne pyaron se mil sakenge
baghair wisa ki bandishon ke
sahulaton se masarraton se
phir is ke badle agar wo mujh se
meri mata-e-hayat mange
to ek pal ko bhi main na sochun
KHushi KHushi us ko dan kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.