sarisht
mirī taḳhlīq se pahle
ḳhudā-e-‘azz-o-jal ne jab mirī buniyād rakkhī thī
kahā jaao zamīñ ko dekh aao
samundar se milo
kuchh rābta kar lo
añdheroñ meñ ghirī nauḳhez dhartī
aur shorīda samundar
kū-ba-kū bāñheñ pasāre
muntazir the
'adam ke paar se aatī
sadā-e-be-sadā.ī
havā.ī sar-ba-sar muñh-zor
sad.hā muztarib sāñpoñ kī phunkāreñ
sarāpā sarkash-o-maġhrūr vahshī paañv se rauñde hue
sāhil
garajtā lahlahātā thā samundar
aur lahreñ sar paTaktī thiiñ
azal ke us ḳharābe se
churā lī maiñ ne ḳhāmoshī se
sarkash mauj
ik phunkār
dāman meñ chhupā.e lauT aayā
ḳhudā-e-‘azz-o-jal ne phir mujhe bhejā zamīñ par
aur makāñ se lā-makāñ tak ik safar darpesh thā
mujh ko
magar ab tak vo sarkash mauj
mujh meñ maujzan hai
be-muhābā aaj bhī mujh meñ uchhaltī
gūñjtī hai
aur mujhe bechain rakhtī hai
meri taKHliq se pahle
KHuda-e-‘azz-o-jal ne jab meri buniyaad rakkhi thi
kaha jao zamin ko dekh aao
samundar se milo
kuchh rabta kar lo
andheron mein ghiri nauKHez dharti
aur shorida samundar
ku-ba-ku banhen pasare
muntazir the
'adam ke par se aati
sada-e-be-sadai
hawai sar-ba-sar munh-zor
sadha muztarib sanpon ki phunkaren
sarapa sarkash-o-maghrur wahshi panw se raunde hue
sahil
garajta lahlahata tha samundar
aur lahren sar paTakti thin
azal ke us KHarabe se
chura li main ne KHamoshi se
sarkash mauj
ek phunkar
daman mein chhupae lauT aaya
KHuda-e-‘azz-o-jal ne phir mujhe bheja zamin par
aur makan se la-makan tak ek safar darpesh tha
mujh ko
magar ab tak wo sarkash mauj
mujh mein maujzan hai
be-muhaba aaj bhi mujh mein uchhalti
gunjti hai
aur mujhe bechain rakhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.