sarkar so rahi hai
mat shikāyat karo ki sarkār so rahī hai
zabāñ pe lagām rakho ki sarkār so rahī hai
mahñgā.ī ne be-shak jiinā muhāl kiyā hai
dil kī dil meñ rakho ki sarkār so rahī hai
mat lagāo na.are na utro saḌak par
jail jāoge piToge Daro ki sarkār so rahī hai
roz daam baḌhātī hai shāyad hukm milā hai kahīñ se
jaldī jeb Dhīlī karo ki sarkār so rahī hai
ye shaah ḳharch hai ki hukūmat hai in kī
aam aadmī ho saḌ-saḌ maro ki sarkār so rahī hai
qatl-o-ġhārat ho ki ismateñ luTeñ rozāna
apnī jaañ kī ḳhair karo ki sarkār so rahī hai
mat shikayat karo ki sarkar so rahi hai
zaban pe lagam rakho ki sarkar so rahi hai
mahngai ne be-shak jina muhaal kiya hai
dil ki dil mein rakho ki sarkar so rahi hai
mat lagao nare na utro saDak par
jail jaoge piToge Daro ki sarkar so rahi hai
roz dam baDhati hai shayad hukm mila hai kahin se
jaldi jeb Dhili karo ki sarkar so rahi hai
ye shah KHarch hai ki hukumat hai in ki
aam aadmi ho saD-saD maro ki sarkar so rahi hai
qatl-o-ghaarat ho ki ismaten luTen rozana
apni jaan ki KHair karo ki sarkar so rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.