sarkash
baaz kī tarah jhapTā vo barham farishta
us ke bāloñ ko muTThī meñ jakḌe hue us se bolā
maiñ tumhārā farishta huuñ sun lo
apne saare farā.ez tum anjām doge
merī marzī hai ye
siyah-kāroñ ġharīboñ ahmaqoñ se
hamesha pyaar karnā tum hamesha pyaar karnā
taaki jab aa.eñ insāniyat ke masīhā
fat.h kā surḳh qālīn un ke liye
apne aḳhlāq se tum buno
is se pahle ki tum ḳhud se bezār ho
us kī azmat se dil ko munavvar karo
auj-e-ishrat hai ye auj-e-ishrat hai ye
der-pā der-pā der-pā der-pā
dars-e-ulfat
dil dhaḌakne se hichkichā.e
sūrat-e-do-disā ye gurezāñ
niilī tārīkiyoñ se shagufta
qahqahe mārtī maiñ jo niklī
mere ḳhvāboñ ke bedār chehre
saare sāhil pe nauha-ḳhvāñ haiñ
baz ki tarah jhapTa wo barham farishta
us ke baalon ko muTThi mein jakDe hue us se bola
main tumhaara farishta hun sun lo
apne sare faraez tum anjam doge
meri marzi hai ye
siyah-karon gharibon ahmaqon se
hamesha pyar karna tum hamesha pyar karna
taki jab aaen insaniyat ke masiha
fath ka surKH qalin un ke liye
apne aKHlaq se tum buno
is se pahle ki tum KHud se bezar ho
us ki azmat se dil ko munawwar karo
auj-e-ishrat hai ye auj-e-ishrat hai ye
der-pa der-pa der-pa der-pa
dars-e-ulfat
dil dhaDakne se hichkichae
surat-e-do-disa ye gurezan
nili tarikiyon se shagufta
qahqahe marti main jo nikli
mere KHwabon ke bedar chehre
sare sahil pe nauha-KHwan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.