sarojini naidu
shā.era bhī thī ḳhatība bhī siyāsat-dāñ bhī thī
naujavānān-e-vatan kī tū chahetī maañ bhī thī
tū rahī sāz-e-mohabbat par hamesha naġhma-ḳhvāñ
hai amar tū aaj bhī ai bulbul-e-hindustāñ
mādar-e-hindostāñ kā tujh se qaa.em hai vaqār
tabqa-e-nisvāñ ko terī zaat vaj.h-e-iftiḳhār
hind kī tahrīk-e-āzādī meñ terā naam hai
qābil-e-taqlīd terā vo misālī kaam hai
jazba-e-insāniyat se dil tirā ma.amūr thā
tere chehre se ayaañ rūhāniyat kā nuur thā
tere naġhmoñ kī latāfat vo tire dil kā gudāz
kaisī pur-tāsīr thī terī navā-e-dil-navāz
har taraf jaadū jagātī thiiñ vo taqrīreñ tirī
sachche motī roltī rahtī thiiñ tahrīreñ tirī
shaera bhi thi KHatiba bhi siyasat-dan bhi thi
naujawanan-e-watan ki tu chaheti man bhi thi
tu rahi saz-e-mohabbat par hamesha naghma-KHwan
hai amar tu aaj bhi ai bulbul-e-hindustan
madar-e-hindostan ka tujh se qaem hai waqar
tabqa-e-niswan ko teri zat wajh-e-iftiKHar
hind ki tahrik-e-azadi mein tera nam hai
qabil-e-taqlid tera wo misali kaam hai
jazba-e-insaniyat se dil tera mamur tha
tere chehre se ayan ruhaniyat ka nur tha
tere naghmon ki latafat wo tere dil ka gudaz
kaisi pur-tasir thi teri nawa-e-dil-nawaz
har taraf jadu jagati thin wo taqriren teri
sachche moti rolti rahti thin tahriren teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.