yahāñ in silvaToñ par haath rakh duuñ
ye lahreñ haiñ bahī jaatī haiñ aur mujh ko bahātī haiñ
ye mauj-e-bāda haiñ sāġhar kī ḳhvābīda-fazā dil meñ
achānak jaag uThtī hai
haqīqat ke jahāñ se koī is duniyā meñ dar aa.e
to us ke hoñT mutabassim hoñ shāyad qahqaha uTh kar
mire dil ko jakaḌ le apne hāthoñ se
magar maiñ ye samajhtā huuñ ki ye lahreñ abhī tak sāhilī manzar se nā-vāqif haiñ yūñhī ik bahānā kar rahī haiñ ik bahāna kis ko kahte haiñ
bahāne hī bahāne haiñ
baḌhā kar rakh diyā lahroñ pe maiñ ne haath mirā haath ik kashtī kī mānind ek mauj-e-tund
kī uftād ke jalve ko mire sāmne lā kar huā hai gum
ye sab mauj-e-taḳhayyul kī ravānī thī
magar maiñ sochtā huuñ baat jo kahne kī thī maiñ ne na kyuuñ pahle hī kah dī vaqt kā
be-fā.eda masraf
har ik poshīda manzar ko
ugal Dālegā ik lamha vo aa.egā
ki jab is baat ke sunñe pe sunñe vaale socheñge
bahāna kyā thā silvaT kyā thī mauj-e-bāda bhī kyā thī
magar shab kī añdherī ḳhalvat-e-gumnām ke parde meñ kho kar un ko ye mālūm ho jā.egā ik pal meñ
aur ik lazzat ke kaif-e-muḳhtasar meñ kho ke vo be-sāḳhta ye baat kah uTTheñge kyā
mujh ko ijāzat hai
yahāñ in silvaToñ par haath rakh duuñ ye jhijak kaisī
ye lahreñ haiñ inheñ nisbat hai kaalī raat ke ġhamnāk dariyā se
jo bahtā hī chalā jaatā hai ruktā hī nahīñ pal ko
jise kuchh bhī ġharaz is se nahīñ maiñ haath rakkhūñ yā jhijak us haath ko mere
kaleje se lagā de aur maiñ so jā.ūñ in lahroñ ke bistar meñ
kaleje se lagā de aur maiñ so jā.ūñ in lahroñ ke bistar meñ
yahan in silwaTon par hath rakh dun
ye lahren hain bahi jati hain aur mujh ko bahati hain
ye mauj-e-baada hain saghar ki KHwabida-faza dil mein
achanak jag uThti hai
haqiqat ke jahan se koi is duniya mein dar aae
to us ke honT mutabassim hon shayad qahqaha uTh kar
mere dil ko jakaD le apne hathon se
magar main ye samajhta hun ki ye lahren abhi tak sahili manzar se na-waqif hain yunhi ek bahana kar rahi hain ek bahana kis ko kahte hain
bahane hi bahane hain
baDha kar rakh diya lahron pe main ne hath mera hath ek kashti ki manind ek mauj-e-tund
ki uftad ke jalwe ko mere samne la kar hua hai gum
ye sab mauj-e-taKHayyul ki rawani thi
magar main sochta hun baat jo kahne ki thi main ne na kyun pahle hi kah di waqt ka
be-faeda masraf
har ek poshida manzar ko
ugal Dalega ek lamha wo aaega
ki jab is baat ke sunne pe sunne wale sochenge
bahana kya tha silwaT kya thi mauj-e-baada bhi kya thi
magar shab ki andheri KHalwat-e-gumnam ke parde mein kho kar un ko ye malum ho jaega ek pal mein
aur ek lazzat ke kaif-e-muKHtasar mein kho ke wo be-saKHta ye baat kah uTThenge kya
mujh ko ijazat hai
yahan in silwaTon par hath rakh dun ye jhijak kaisi
ye lahren hain inhen nisbat hai kali raat ke ghamnak dariya se
jo bahta hi chala jata hai rukta hi nahin pal ko
jise kuchh bhi gharaz is se nahin main hath rakkhun ya jhijak us hath ko mere
kaleje se laga de aur main so jaun in lahron ke bistar mein
kaleje se laga de aur main so jaun in lahron ke bistar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.