sarshaari
nasha-e-fikr se sarshār thī shaam
phir bahā-e-shab-e-dījūr na pūchh
dil-e-ranjūr na pūchh
chashm-e-be-ḳhvāb meñ ḳhvāboñ kī bahār
ya.anī nādīda bahāroñ ke chaman
kitne nā-rusta gulāboñ kī phaban
dasht-e-imkān meñ nā-gufta suḳhan
kitne kābūs ke shab-ḳhūñ
shab-e-dījūr na pūchh
dil-e-ranjūr na pūchh
dard thā dard kī lazzat dil-e-betāb bhī thā
nam the dāmān-o-girebāñ sar-e-bālīñ nam thā
kyā sabab thā ki zabāñ harf-o-bayāñ the maflūj
bevgī-e-sar-e-qirtās kā aalam mat pūchh
bebasī saut-o-sadā kī shab-e-dījūr na pūchh
dil-e-ranjūr na pūchh
vaqt aisā bhī paḌā fasl-e-junūñ bhī aa.ī
fāsle miT ga.e dāman se garebāñ lipTā
ḳhosha-e-fikr kī surḳhī sar-e-mizhgāñ chhalkī
raqs meñ saarā jahāñ thā
shab-e-dījūr na pūchh
dil-e-ranjūr na pūchh
nasha-e-fikr se sarshaar thi sham
phir baha-e-shab-e-dijur na puchh
dil-e-ranjur na puchh
chashm-e-be-KHwab mein KHwabon ki bahaar
yani nadida bahaaron ke chaman
kitne na-rusta gulabon ki phaban
dasht-e-imkan mein na-gufta suKHan
kitne kabus ke shab-KHun
shab-e-dijur na puchh
dil-e-ranjur na puchh
dard tha dard ki lazzat dil-e-betab bhi tha
nam the daman-o-gireban sar-e-baalin nam tha
kya sabab tha ki zaban harf-o-bayan the mafluj
bewgi-e-sar-e-qirtas ka aalam mat puchh
bebasi saut-o-sada ki shab-e-dijur na puchh
dil-e-ranjur na puchh
waqt aisa bhi paDa fasl-e-junun bhi aai
fasle miT gae daman se gareban lipTa
KHosha-e-fikr ki surKHi sar-e-mizhgan chhalki
raqs mein sara jahan tha
shab-e-dijur na puchh
dil-e-ranjur na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.