sasti nazm
kaise mātam karūñ
kaise nauhe likhūñ
kaise rūhoñ kī chīḳhoñ se nazmeñ bunūñ
jāgtī bain kartī havāoñ se
jā kar lipaT jā.ūñ kyā
kirchī kirchī ye ḳhvāboñ ke a.azā jo bikhre paḌe haiñ
unheñ dekh kar phir palaT jā.ūñ kyā
apne aqdār se qaul-o-iqrār se pīchhe haT jā.ūñ kyā
mujh ko iqrār hai
maiñ ne ḳhvāboñ meñ bichhḌe ka.ī ḳhvāb-chehre likhe hī nahīñ
maiñ ne hāthoñ meñ pakḌe kisī haath ke ḳhauf likhe nahīñ
maiñ ne āñkhoñ se bahte lahū-rañg ko laal likkhā nahīñ
maiñ ne ab tak kisī kokh vīrānī kā haal likkhā nahīñ
kyuuñ ye vahshī qalam mere vijdān meñ nazm botā nahīñ
mere ilhām se ye jo lipTā huā ḳhauf kā aks hai kyuuñ ye sotā nahīñ
ab koī hādisa ho bhī jaa.e agar to bhī hotā nahīñ
nazm likkhūñ magar
ab mire shahr meñ nazm likhne pe koī bhī rotā nahīñ
kaise matam karun
kaise nauhe likhun
kaise ruhon ki chiKHon se nazmen bunun
jagti bain karti hawaon se
ja kar lipaT jaun kya
kirchi kirchi ye KHwabon ke aaza jo bikhre paDe hain
unhen dekh kar phir palaT jaun kya
apne aqdar se qaul-o-iqrar se pichhe haT jaun kya
mujh ko iqrar hai
main ne KHwabon mein bichhDe kai KHwab-chehre likhe hi nahin
main ne hathon mein pakDe kisi hath ke KHauf likhe nahin
main ne aankhon se bahte lahu-rang ko lal likkha nahin
main ne ab tak kisi kokh virani ka haal likkha nahin
kyun ye wahshi qalam mere wijdan mein nazm bota nahin
mere ilham se ye jo lipTa hua KHauf ka aks hai kyun ye sota nahin
ab koi hadisa ho bhi jae agar to bhi hota nahin
nazm likkhun magar
ab mere shahr mein nazm likhne pe koi bhi rota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.