satren kanp uThti hain
masā.ī ke amal meñ saarī satreñ
kaañp uThtī haiñ
use to gumbad-e-tahrīr se bāhar nikalnā thā
sabā-raftār chalnā thā
kisī sāñche meñ Dhalnā thā
magar jab soch par qadġhan
ḳhayāloñ par rahe pahra
kisī an-dekhe ġhurfe se
gire bijlī kā ik kauñdā
lab-e-fariyād koī vā kare
mumkin nahīñ rahtā
masā.ī ke amal meñ saarī satreñ
kaañp uThtī haiñ
masai ke amal mein sari satren
kanp uThti hain
use to gumbad-e-tahrir se bahar nikalna tha
saba-raftar chalna tha
kisi sanche mein Dhalna tha
magar jab soch par qadghan
KHayalon par rahe pahra
kisi an-dekhe ghurfe se
gire bijli ka ek kaunda
lab-e-fariyaad koi wa kare
mumkin nahin rahta
masai ke amal mein sari satren
kanp uThti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.