saughat
gul-dānoñ meñ saje hue phūloñ ko maiñ ne
raat apnī āġhosh meñ le kar itnā bhīñchā
saare rañg aur saarī ḳhushbū añg añg
meñ basī huī hai
saarī duniyā na.ī huī hai
par mujh ko in sab rañgoñ aur ḳhushbuoñ se Dar lagtā hai
jin kā muqaddar tanhā.ī ho
yā phir aisī rusvā.ī ho jis kī aag meñ baras baras ke
saje hue manzar jal jaa.eñ
ghar jal jaa.eñ
gul-danon mein saje hue phulon ko main ne
raat apni aaghosh mein le kar itna bhincha
sare rang aur sari KHushbu ang ang
mein basi hui hai
sari duniya nai hui hai
par mujh ko in sab rangon aur KHushbuon se Dar lagta hai
jin ka muqaddar tanhai ho
ya phir aisi ruswai ho jis ki aag mein baras baras ke
saje hue manzar jal jaen
ghar jal jaen
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 483)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.