saughat
jashn-e-nauroz bhī hai
jashn-e-bahārāñ bhī hai
shab-e-mahtāb bhī
jashn-e-mah-e-tābāñ bhī hai
sunte haiñ aaj hī
jashn-e-shah-e-ḳhūbāñ bhī hai
aa ai dil-e-betāb
chaleñ ham bhī vahāñ
jashn kī raat hai
sauġhāt to baTtī hogī
apne hisse kī chaleñ
ham bhī uThā leñ sauġhāt
dard kī āḳhirī siine se
lagā leñ sauġhāt
aur phir yuuñ ho ki
jab shaam Dhale
us meñ bhiig ke
gul-mohar kī ḳhushbū phaile
yaad kī chāñdnī
be-ḳhvāb darīchoñ pe gire
phir usī jashn kī ye raat
mire kaam aa.e
dard kī āḳhirī sauġhāt
mire kaam aa.e
āḳhirī shab shab-e-āḳhir Thahre
zid pe aayā huā ye dil Thahre
toḌ duuñ shīsha jo hastī kā bhī
phir jaam aa.e
kaam aa.e to vo sauġhāt
mire kaam aa.e
jashn kī raat hai yuuñ nazr guzārī jaa.e
ek ik aarzū sadqe meñ utārī jaa.e
jashn-e-nauroz bhi hai
jashn-e-bahaaran bhi hai
shab-e-mahtab bhi
jashn-e-mah-e-taban bhi hai
sunte hain aaj hi
jashn-e-shah-e-KHuban bhi hai
aa ai dil-e-betab
chalen hum bhi wahan
jashn ki raat hai
saughat to baTti hogi
apne hisse ki chalen
hum bhi uTha len saughat
dard ki aaKHiri sine se
laga len saughat
aur phir yun ho ki
jab sham Dhale
us mein bhig ke
gul-mohar ki KHushbu phaile
yaad ki chandni
be-KHwab darichon pe gire
phir usi jashn ki ye raat
mere kaam aae
dard ki aaKHiri saughat
mere kaam aae
aaKHiri shab shab-e-aKHir Thahre
zid pe aaya hua ye dil Thahre
toD dun shisha jo hasti ka bhi
phir jam aae
kaam aae to wo saughat
mere kaam aae
jashn ki raat hai yun nazr guzari jae
ek ek aarzu sadqe mein utari jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.