saughat
nazm kaun likhtā hai
vo jo malāl meñ mubtalā hai
yā vo jo jashn manānā bhuul gayā
hamāre paas tumhārī dī huī sauġhāt hai
barsoñ purānī
ham ne use purāne sāmān ke saath saiñt ke rakkhā hai
dūsroñ kī nazroñ se chhupā kar
koī dekhegā
nahīñ koī nahīñ
ham jānte haiñ
agar ham nahīñ bhī jānte phir bhī
ye to ḳhufiya vārdāt hai
ye vo nahīñ hai
jaise tum kuuḌe ke Dher se uThā lo
chand roTī ke TukḌoñ ke liye
malāl kī kitnī qismeñ haiñ
ginoge to ginte rah jāoge
ham jis ābādī meñ rahte haiñ
ye vahāñ kī pahchān hai
use ham ne apne bachchoñ kī pahuñch se duur rakhne kī puurī koshish kī
ye soch kar ki vo kyā socheñge
kis thālī meñ khā.eñ
nazm kaun likhta hai
wo jo malal mein mubtala hai
ya wo jo jashn manana bhul gaya
hamare pas tumhaari di hui saughat hai
barson purani
hum ne use purane saman ke sath saint ke rakkha hai
dusron ki nazron se chhupa kar
koi dekhega
nahin koi nahin
hum jaante hain
agar hum nahin bhi jaante phir bhi
ye to KHufiya wardat hai
ye wo nahin hai
jaise tum kuDe ke Dher se uTha lo
chand roTi ke TukDon ke liye
malal ki kitni qismen hain
ginoge to ginte rah jaoge
hum jis aabaadi mein rahte hain
ye wahan ki pahchan hai
use hum ne apne bachchon ki pahunch se dur rakhne ki puri koshish ki
ye soch kar ki wo kya sochenge
kis thaali mein khaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.