saughat
karoḌoñ jagoñ se mire sāmne thā
bahut duur tak kholtī dūriyoñ kā samundar
lajīlī sī chup chaap nīlāhaToñ kā sulagtā sā sāgar
samundar ke us paar manD ke auñdhe kueñ meñ
karoḌoñ jagoñ ke samay kī
dhuñdlakoñ meñ lipTī huī paaro rashk tahoñ kaid hoeñ maiñ lagan lagan ke lahke hue peḌ kī jhūltī Dāliyoñ par
añdheroñ ke shafāsh pattoñ ke ojhal
guhar an-ginat raat bhar is tāroñ kī jin par sajātī
madhurtā bhare ruup meñ chāñd kī us par muskurātī
jab ujlī ro pahlī sī chhāñv meñ āhista se chheḌ detī
koī ras meñ bhīgā huā sā masarrat bharā giit dhartī
kabhī mast nainoñ kī jhīloñ ke jal meñ
vo bhedoñ bharī raushnī Dalī kī tarah duur tak jā utartī
kisī piit joḌe kī bahkī sī parchhā.iyoñ meñ
kabhī rañg sapne ke jaadū kā bhartī
kabhī pyaar kī aag ke āñchaloñ meñ
vo biite sumoñ kī madhur yādeñ ban kar bikhartī
kabhī aag barsāt kī ThanDī ThanDī pavan meñ
barrā kī kaTāroñ se ghāyal diloñ ko dikhātī
kabhī bhar ke sundar paloñ kī hasīñ motiyā rañg kī pyāliyoñ meñ
mohabbat kī pyāsī ik ik aatmā ko
manohar milan kī madhur kalpanāoñ kā amrit pilātī
vo bhar bhar ke mukhḌe kī muskān se badliyoñ ke kaTore
kabhī apne hī darpan aise badan par maze se luñDhātī
magar aaj dhartī se ambar ke us paar hadd-e-nazar tak
ḳhirad kī suhānī suhānī uḌānoñ kā pal ban chalā hai
bahut jald us pal kī pur-nūr rah se guzar kar
chahaktī huī chāñd kī apsarā ko
ragoñ meñ rachā.ī huī qarna-hā-qarn kī chāñdnī ke evaz maiñ
maiñ atom ke gambhīr saaya kī anmol sauġhāt dūñgā
maiñ bhaTke hue gyaan kī qīmtī raat dūñgā
karoDon jagon se mere samne tha
bahut dur tak kholti duriyon ka samundar
lajili si chup chap nilahaTon ka sulagta sa sagar
samundar ke us par manD ke aundhe kuen mein
karoDon jagon ke samay ki
dhundlakon mein lipTi hui paro rashk tahon kaid hoen main lagan lagan ke lahke hue peD ki jhulti Daliyon par
andheron ke shafash patton ke ojhal
guhar an-ginat raat bhar is taron ki jin par sajati
madhurta bhare rup mein chand ki us par muskuraati
jab ujli ro pahli si chhanw mein aahista se chheD deti
koi ras mein bhiga hua sa masarrat bhara git dharti
kabhi mast nainon ki jhilon ke jal mein
wo bhedon bhari raushni Dali ki tarah dur tak ja utarti
kisi pit joDe ki bahki si parchhaiyon mein
kabhi rang sapne ke jadu ka bharti
kabhi pyar ki aag ke aanchalon mein
wo bite sumon ki madhur yaaden ban kar bikharti
kabhi aag barsat ki ThanDi ThanDi pawan mein
barra ki kaTaron se ghayal dilon ko dikhati
kabhi bhar ke sundar palon ki hasin motiya rang ki pyaliyon mein
mohabbat ki pyasi ek ek aatma ko
manohar milan ki madhur kalpanaon ka amrit pilati
wo bhar bhar ke mukhDe ki muskan se badliyon ke kaTore
kabhi apne hi darpan aise badan par maze se lunDhati
magar aaj dharti se ambar ke us par hadd-e-nazar tak
KHirad ki suhani suhani uDanon ka pal ban chala hai
bahut jald us pal ki pur-nur rah se guzar kar
chahakti hui chand ki apsara ko
ragon mein rachai hui qarna-ha-qarn ki chandni ke ewaz main
main atom ke gambhir saya ki anmol saughat dunga
main bhaTke hue gyan ki qimti raat dunga
- Book : auraq-shumara-number-02 (Pg. 246)
- Author : Wazeer Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Auraq,Chauk Urdu Bazar Lahore (january-1967 Issu,02)
- Edition : january-1967 Issu,02
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.