saugandhi
Interesting Fact
Dedicated to the legendary fiction writer Manto. The central character of one of his short stories 'Hatak' was a whore named Sugandhi.
ik mausam mire dil ke andar
ik mausam mire bāhar
ik rasta mire pīchhe bhāge
ik rasta mire aage
biich meñ chup chup khaḌī huuñ jaise
būjhī huī bujhārt
kis ko dosh duuñ, jaane mujh ko
kis ne kiyā akārat
ā.īna dekhūñ, baal sañvārūñ
lab pe hañsī sajā.ūñ
galā-saḌā vahī gosht ki jis par
baiThī rañg chaḌhā.ūñ
jaane kitnī barf pighal ga.ī
bah gayā kitnā paanī
kis nadiyā meñ DhūñDūñ bachpan
kis dariyā meñ javānī
raat aa.e mirī haDDiyāñ jāgeñ
din jaage maiñ so.uuñ
apne ujaaḌ badan se lag kar
kabhī hañsūñ, kabhī ro.uuñ
ek bhayānak sapnā: aag meñ lipTī jaltī jā.ūñ
cholī meñ aḌse sikkoñ ke sañg pighaltī jā.ūñ
ik mausam mire dil ke andar
ik mausam mire bāhar
ik rasta mire pīchhe bhāge
ik rasta mire aage
raste biich maiñ khaḌī akelī
piyā na sañg sahelī
kyā jaane mujh janm-jalī ne
kyā aprādh kiyā hai
āḳhir kyuuñ duniyā kā maiñ ne saarā zahr piyā hai
saarī umr na jaane apne badan meñ kise jiyā hai
mere saath zamāne!
tū ne achchhā nahīñ kiyā hai
duur khaḌe mire āñgan dvāre
pal pal paas bulā.eñ
kaho havāoñ se ab, un ko
duur bahut hī duur kahīñ le jaa.eñ
jhuuT kī ye kaalī dīvāreñ
jhuuT kā farsh aur chhat hai
jhuuT kā bistar jhuuT ke sāthī
jhuuT kī har sañgat hai
jhuuT bichhā.ūñ, jhuuT lapeTūñ
jhuuT utārūñ, pahnūñ
jhuuT pahan kar jism ke vīrāne meñ dauḌtī jā.ūñ
sach ke jugnū bol kahāñ hai
kab se tujhe bulā.ūñ
is lambī tārīk saḌak par kab tak chaltī jā.ūñ
kyuuñ nahīñ zehn kī dīvāroñ se
Takrā.ūñ, mar jā.ūñ
sham.a sarekhī pighal rahī huuñ
ojhal kabhī ujāgar
ik mausam mire dil ke andar
ik mausam mire bāhar
mujh se milne kaun aa.e ab in tanhā rāhoñ par
boTī boTī baT ga.ī merī raushan chaurāhoñ par
is gahre sannāTe meñ kis ko āvāz lagā.ūñ
kaun aa.egā madad ko merī
kyā chīḳhoñ chillā.ūñ
apne murda gosht kī chādar
oḌh ke chup ho jā.ūñ
aur achānak nīndoñ kī daldal meñ gum ho jā.ūñ
kisī ke haath na aa.uuñ
ḳhud ko maiñ ḳhud DhūñDne niklūñ
lekin kahīñ na pā.ūñ
ek mausam mere dil ke andar
ek mausam mere bahar
ek rasta mere pichhe bhage
ek rasta mere aage
bich mein chup chup khaDi hun jaise
bujhi hui bujhaart
kis ko dosh dun, jaane mujh ko
kis ne kiya akarat
aaina dekhun, baal sanwarun
lab pe hansi sajaun
gala-saDa wahi gosht ki jis par
baiThi rang chaDhaun
jaane kitni barf pighal gai
bah gaya kitna pani
kis nadiya mein DhunDun bachpan
kis dariya mein jawani
raat aae meri haDDiyan jagen
din jage main soun
apne ujaD badan se lag kar
kabhi hansun, kabhi roun
ek bhayanak sapna: aag mein lipTi jalti jaun
choli mein aDse sikkon ke sang pighalti jaun
ek mausam mere dil ke andar
ek mausam mere bahar
ek rasta mere pichhe bhage
ek rasta mere aage
raste bich main khaDi akeli
piya na sang saheli
kya jaane mujh janm-jali ne
kya apradh kiya hai
aaKHir kyun duniya ka main ne sara zahr piya hai
sari umr na jaane apne badan mein kise jiya hai
mere sath zamane!
tu ne achchha nahin kiya hai
dur khaDe mere aangan dware
pal pal pas bulaen
kaho hawaon se ab, un ko
dur bahut hi dur kahin le jaen
jhuT ki ye kali diwaren
jhuT ka farsh aur chhat hai
jhuT ka bistar jhuT ke sathi
jhuT ki har sangat hai
jhuT bichhaun, jhuT lapeTun
jhuT utarun, pahnun
jhuT pahan kar jism ke virane mein dauDti jaun
sach ke jugnu bol kahan hai
kab se tujhe bulaun
is lambi tarik saDak par kab tak chalti jaun
kyun nahin zehn ki diwaron se
Takraun, mar jaun
shama sarekhi pighal rahi hun
ojhal kabhi ujagar
ek mausam mere dil ke andar
ek mausam mere bahar
mujh se milne kaun aae ab in tanha rahon par
boTi boTi baT gai meri raushan chaurahon par
is gahre sannaTe mein kis ko aawaz lagaun
kaun aaega madad ko meri
kya chiKHon chillaun
apne murda gosht ki chadar
oDh ke chup ho jaun
aur achanak nindon ki daldal mein gum ho jaun
kisi ke hath na aaun
KHud ko main KHud DhunDne niklun
lekin kahin na paun
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 260)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.