sawal
vo kaisā tire jism kā ḳhvāb thā
ki jis ke lahū meñ sharāre uchhalte rahe
kab jale aur bujhe ḳhvāb hai
vo havā jo unheñ chhū ga.ī
saañs ban kar abhī maujzan hai rag-o-pai meñ
lekin sharāre kahāñ haiñ
lahū be-sabab ghūmtā hai
ġhulāmāna gardish hai kolhoñ meñ jakḌe hue bail kī
jis kī āñkhoñ pe paTTī bañdhī hai
ek andhā safar hai
azal tā abad
kyā yahī thī tamannā ki duniyā bane aur sūraj ke atrāf chakkar lagātī rahe
wo kaisa tere jism ka KHwab tha
ki jis ke lahu mein sharare uchhalte rahe
kab jale aur bujhe KHwab hai
wo hawa jo unhen chhu gai
sans ban kar abhi maujzan hai rag-o-pai mein
lekin sharare kahan hain
lahu be-sabab ghumta hai
ghulamana gardish hai kolhon mein jakDe hue bail ki
jis ki aankhon pe paTTi bandhi hai
ek andha safar hai
azal ta abad
kya yahi thi tamanna ki duniya bane aur suraj ke atraf chakkar lagati rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.