sawal
saḌkoñ pe sannāTā hai aur
jin umroñ meñ
maa.eñ beToñ ke cigarette se sulge kapḌoñ kī jeboñ meñ
koī mahaktā ḳhat dekheñ to
hañs kar vāpas rakh detī thiiñ
in umroñ meñ
ab maaoñ ko
jismoñ meñ bārūd kī bū aur lāshoñ meñ sikke ke chhed rulā dete haiñ
dil par zaḳhm uThāne vaalī umr meñ laḌke
kamre kī dīvār ke ghaav
bandūqoñ kī tasvīroñ se Dhak dene par
āmāda kaise hote haiñ
fatvoñ kī dhāreñ zehnoñ ko
āḳhir kaise kund kartī haiñ
jannat meñ jo kuchh bhī hogā
is duniyā ko kaun jahannum kar detā hai
maaoñ kī godoñ se uTh kar
maut kī god meñ sone vaalo
kuchh to bolo
saDkon pe sannaTa hai aur
jin umron mein
maen beTon ke cigarette se sulge kapDon ki jebon mein
koi mahakta KHat dekhen to
hans kar wapas rakh deti thin
in umron mein
ab maon ko
jismon mein barud ki bu aur lashon mein sikke ke chhed rula dete hain
dil par zaKHm uThane wali umr mein laDke
kamre ki diwar ke ghaw
banduqon ki taswiron se Dhak dene par
aamada kaise hote hain
fatwon ki dhaaren zehnon ko
aaKHir kaise kund karti hain
jannat mein jo kuchh bhi hoga
is duniya ko kaun jahannum kar deta hai
maon ki godon se uTh kar
maut ki god mein sone walo
kuchh to bolo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.