muddatoñ se
ḳhamoshī ke be-ant varnoñ kī andhī guphā meñ
khaḌā vo
merī putliyoñ meñ
savāloñ kā neza utāre hue pūchhtā hai
maiñ terī tamannā meñ apne liye
dard ke ik siyah-rū samundar se
tanhā.iyoñ ke siyah siip laayā
sukh ke saare diye
aur
masarrat kī mālāoñ ko toḌ kar
dukh kā var maiñ ne māñgā
ki tū merī rakhshā ko aa.e
magar mujh ko kyuuñ
in aziyyat kī kaalī salīboñ pe
ḳhāmoshiyoñ kī darinda-sifat kiil se jaḌ diyā hai
mujhe kis liye
pheñkā gayā hai
muddaton se
KHamoshi ke be-ant warnon ki andhi gupha mein
khaDa wo
meri putliyon mein
sawalon ka neza utare hue puchhta hai
main teri tamanna mein apne liye
dard ke ek siyah-ru samundar se
tanhaiyon ke siyah sip laya
sukh ke sare diye
aur
masarrat ki malaon ko toD kar
dukh ka war main ne manga
ki tu meri rakhsha ko aae
magar mujh ko kyun
in aziyyat ki kali salibon pe
KHamoshiyon ki darinda-sifat kil se jaD diya hai
mujhe kis liye
phenka gaya hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 94)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.