sawaneh-umri
maiñ ne apnī umr kā sarkash ghoḌā
yādoñ ke ik peḌ se bāñdhā
merā lañgḌātā buḌhāpā
sattar us ke saa.e saa.e pachpan
merā ghar merā daftar
merī javānī merā bachpan
teii.s bā.īs un ke pīchhe terah baara
mere gaañv kā chaubārā...
mujh ko to ye saarā manzar
pal pal apnā ruup badaltā manzar
dhundlā dhundlā sā lagtā hai
merī mez pe ma.anī kā ik but thā
maiñ ne us kī patthar-āñkhoñ patthar-hoñToñ par
thoḌā sā lafzoñ kā paanī thoḌī sī whiskey chhiḌkī
ab dekhūñ to merā ā.īna dhulā dhulā sā
ab saarā manzar achchhā lagtā hai!!
main ne apni umr ka sarkash ghoDa
yaadon ke ek peD se bandha
mera langData buDhapa
sattar us ke sae sae pachpan
mera ghar mera daftar
meri jawani mera bachpan
teis bais un ke pichhe terah bara
mere ganw ka chaubara
mujh ko to ye sara manzar
pal pal apna rup badalta manzar
dhundla dhundla sa lagta hai
meri mez pe mani ka ek but tha
main ne us ki patthar-ankhon patthar-honTon par
thoDa sa lafzon ka pani thoDi si whiskey chhiDki
ab dekhun to mera aaina dhula dhula sa
ab sara manzar achchha lagta hai!!
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.