sawari unT ki hai
savārī uuñT kī hai
aur maiñ shahr-e-shikasta kī
kisī sunsāñ galī meñ sar jhukā.e
haath meñ bad-rañg chamḌe kī mahāreñ thaam kar
us ghar kī jānib jā rahā huuñ
jis kī chaukhaT par
hazāroñ saal se
ik ġham-zada aurat
mire va.ade kī rassī
resha-e-dil se bunī
mazbūt rassī se bañdhī hai
āñ.suoñ se tar nigāhoñ meñ
kisī kohna sitāre kī chamak le kar
mire ḳhākistarī malbūs kī
maḳhsūs ḳhushbū sūñghne ko
aur bhūre naT kī
dukh se labālab bilbilāhaT
sunñe ko tayyār baiThī hai!
vahī sīlan-zada ūtāq kā gosha
jahāñ maiñ ek shab us ko
larazte sansanāte zahr vaale
chobī tīroñ kī ghanī bārish meñ
be-bas aur akelā chhoḌ aayā thā
mujhe sab yaad hai qissa
baras kar abr bilkul tham chukā thā
aur ḳhalā meñ chāñd
yuuñ lagtā thā jaise
taḳht par nau-umr shahzāda ho koī
yuuñ havā chehre ko mas kar ke guzartī thī
ki jaise reshmīñ kapḌā ho koī
apne ThanDe aur giile ḳhol ke andar
galī soī huī thī
dam-ba-ḳhud saare makāñ
aaise nazar aate the
jaise narm aur bārīk kāġhaz ke bane hoñ
mom ke tarshe hue hoñ
ik baḌī tasvīr meñ
jaise azal se īstāda hoñ!
vahī sīlan-zada ūtāq kā gosha
jahāñ mahtāb kī burrāq kirneñ
us ke lāñmbe aur khule bāloñ meñ aḌse
tāza-tar injīr ke patte raushan kar rahī thiiñ
us kī gahrī gandumīñ kuhnī kā bosa yaad hai mujh ko
nahīñ bhūlā abhī tak
saarā qissa yaad hai mujh ko
usī shab
maiñ ne jab ik lamha-e-pur-soz meñ
talvār us ke paañv meñ rakh dī thī
aur phir ye kahā thaa:
''merā va.ada hai
ye merā jism aur is jism kī hākim
ye merī bātinī tāqat
qayāmat aur
qayāmat se bhī aage
sarhad-e-imkāñ se lā-imkāñ talak
terī vafā kā saath degī
vaqt suntā hai
gavāhī ke liye
ākāsh par ye chāñd
qadmoñ meñ paḌī ye teġh
aur bāloñ meñ ye injīr kā pattā hī kaafī hai!''
ḳhudāvandā vo kaisā marhala thaa!
ab ye kaisā marhala hai!
ek sunsānī kā aalam hai
galī chup hai
kisī zī-rūh kī aahaT nahīñ aatī
ye kaisī sā.at-e-manhūs hai
jis meñ abhī tak
koī nanhā sā parinda yā patiñgā
yā koī mauhūm chyūñTī hī nahīñ guzrī
kisī bhī mard o zan kī
maiñ ne sūrat hī nahīñ dekhī
savārī uuñT kī hai
aur maiñ shahr-e-shikasta kī
kisī sunsāñ galī meñ sar jhukā.e
haath meñ bad-rañg chamḌe kī mahāreñ thaam kar
us ghar kī jānib jā rahā huuñ
yā kisī mahshar
ḳhamoshī ke kisī mahshar kī jānib jā rahā huuñ
hichkiyoñ aur siskiyoñ ke ba.ad kā mahshar
koī manzar
koī manzar ki jis meñ ik galī hai
ek bhūrā uuñT hai
aur ek buzdil shaḳhs kī Dhīlī rifāqat hai
safar nā-muḳhtatam
jaise abad tak kī koī lambī masāfat hai!
savārī uuñT kī
yā kaaTh ke a.asāb kī hai
āzmā.ish ik anokhe ḳhvāb kī hai
putliyāñ sākit haiñ
saaya uuñT kā hiltā nahīñ
ā.īña-e-āsār meñ
saarī shabīheñ gum huī haiñ
us ke hone kā nishāñ miltā nahīñ
kab se galī meñ huuñ
kahāñ hai vo mirī pyārī
mirī sīlan-zada ūtāq vaalī
vo surīlī ghanTiyoñ vaalī
zamīnoñ pāniyoñ aur anfus o āfāq vaalī
kis qadar ā.ankhoñ ne koshish kī
magar ronā nahīñ aatā
sabab kyā hai
galī kā āḳhirī konā nahīñ aatā
galī ko hukm ho ab ḳhatm ho jaa.e
maiñ bhūre aur būḌhe uuñT par baiThe hue
piirī ke din gintā huuñ
shāyad is galī meñ rahne vaalā
koī us ke ahd kā zambūr hī guzre
maiñ us kī bārgah meñ
dast-basta ma.azarat kī bhiik māñgūñ
sar nadāmat se jhukā.uñ
aur us zambūr ke sadqe
kisī din apne būḌhe jism ko
aur uuñT ko le kar
galī kī āḳhirī had paar kar jā.ūñ!!
sawari unT ki hai
aur main shahr-e-shikasta ki
kisi sunsan gali mein sar jhukae
hath mein bad-rang chamDe ki mahaaren tham kar
us ghar ki jaanib ja raha hun
jis ki chaukhaT par
hazaron sal se
ek gham-zada aurat
mere wade ki rassi
resha-e-dil se buni
mazbut rassi se bandhi hai
aansuon se tar nigahon mein
kisi kohna sitare ki chamak le kar
mere KHakistari malbus ki
maKHsus KHushbu sunghne ko
aur bhure naT ki
dukh se labaalab bilbilahaT
sunne ko tayyar baiThi hai!
wahi silan-zada utaq ka gosha
jahan main ek shab us ko
larazte sansanate zahr wale
chobi tiron ki ghani barish mein
be-bas aur akela chhoD aaya tha
mujhe sab yaad hai qissa
baras kar abr bilkul tham chuka tha
aur KHala mein chand
yun lagta tha jaise
taKHt par nau-umr shahzada ho koi
yun hawa chehre ko mas kar ke guzarti thi
ki jaise reshmin kapDa ho koi
apne ThanDe aur gile KHol ke andar
gali soi hui thi
dam-ba-KHud sare makan
aaise nazar aate the
jaise narm aur barik kaghaz ke bane hon
mom ke tarshe hue hon
ek baDi taswir mein
jaise azal se istada hon!
wahi silan-zada utaq ka gosha
jahan mahtab ki burraq kirnen
us ke lanmbe aur khule baalon mein aDse
taza-tar injir ke patte raushan kar rahi thin
us ki gahri gandumin kuhni ka bosa yaad hai mujh ko
nahin bhula abhi tak
sara qissa yaad hai mujh ko
usi shab
main ne jab ek lamha-e-pur-soz mein
talwar us ke panw mein rakh di thi
aur phir ye kaha tha:
mera wada hai
ye mera jism aur is jism ki hakim
ye meri baatini taqat
qayamat aur
qayamat se bhi aage
sarhad-e-imkan se la-imkan talak
teri wafa ka sath degi
waqt sunta hai
gawahi ke liye
aakash par ye chand
qadmon mein paDi ye tegh
aur baalon mein ye injir ka patta hi kafi hai!
KHudawanda wo kaisa marhala tha!
ab ye kaisa marhala hai!
ek sunsani ka aalam hai
gali chup hai
kisi zi-ruh ki aahaT nahin aati
ye kaisi saat-e-manhus hai
jis mein abhi tak
koi nanha sa parinda ya patinga
ya koi mauhum chyunTi hi nahin guzri
kisi bhi mard o zan ki
main ne surat hi nahin dekhi
sawari unT ki hai
aur main shahr-e-shikasta ki
kisi sunsan gali mein sar jhukae
hath mein bad-rang chamDe ki mahaaren tham kar
us ghar ki jaanib ja raha hun
ya kisi mahshar
KHamoshi ke kisi mahshar ki jaanib ja raha hun
hichkiyon aur siskiyon ke baad ka mahshar
koi manzar
koi manzar ki jis mein ek gali hai
ek bhura unT hai
aur ek buzdil shaKHs ki Dhili rifaqat hai
safar na-muKHtatam
jaise abad tak ki koi lambi masafat hai!
sawari unT ki
ya kaTh ke aasab ki hai
aazmaish ek anokhe KHwab ki hai
putliyan sakit hain
saya unT ka hilta nahin
aaina-e-asar mein
sari shabihen gum hui hain
us ke hone ka nishan milta nahin
kab se gali mein hun
kahan hai wo meri pyari
meri silan-zada utaq wali
wo surili ghanTiyon wali
zaminon paniyon aur anfus o aafaq wali
kis qadar aaankhon ne koshish ki
magar rona nahin aata
sabab kya hai
gali ka aaKHiri kona nahin aata
gali ko hukm ho ab KHatm ho jae
main bhure aur buDhe unT par baiThe hue
piri ke din ginta hun
shayad is gali mein rahne wala
koi us ke ahd ka zambur hi guzre
main us ki bargah mein
dast-basta mazarat ki bhik mangun
sar nadamat se jhukaun
aur us zambur ke sadqe
kisi din apne buDhe jism ko
aur unT ko le kar
gali ki aaKHiri had par kar jaun!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.