sayyad ki lauh-e-turbat
Interesting Fact
Bang-e-Dara
ai ki terā murġh-e-jāñ tār-e-nafas meñ hai asiir
ai ki terī ruuh kā taa.ir qafas meñ hai asiir
is chaman ke naġhma-pairāoñ kī āzādī to dekh
shahr jo ujḌā huā thā us kī ābādī to dekh
fikr rahtī thī mujhe jis kī vo mahfil hai yahī
sabr-o-istiqlāl kī khetī kā hāsil hai yahī
sañg-e-turbat hai mirā girvīda-e-taqrīr dekh
chashm-e-bātin se zarā is lauh kī tahrīr dekh
mudda.ā terā agar duniyā meñ hai ta.alīm-e-dīñ
tark-e-duniyā qaum ko apnī na sikhlānā kahīñ
vā na karnā firqa-bandī ke liye apnī zabāñ
chhup ke hai baiThā huā hañgāma-e-mahshar yahāñ
vasl ke asbāb paidā hoñ tirī tahrīr se
dekh koī dil na dukh jaa.e tirī taqrīr se
mahfil-e-nau meñ purānī dāstānoñ ko na chheḌ
rañg par jo ab na aa.eñ un fasānoñ ko na chheḌ
tū agar koī mudabbir hai to sun merī sadā
hai dilerī dast-e-arbāb-e-siyāsat kā asā
arz-e-matlab se jhijak jaanā nahīñ zebā tujhe
nek hai niyyat agar terī to kyā parvā tujhe
banda-e-momin kā dil bīm-o-riyā se paak hai
quvvat-e-farmāñ-ravā ke sāmne bebāk hai
ho agar hāthoñ meñ tere ḳhām-e-mojiz raqam
shīsha-e-dil ho agar terā misāl-e-jām-e-jam
paak rakh apnī zabāñ tilmīz-e-rahmānī hai tū
ho na jaa.e dekhnā terī sadā be-ābrū
sone vāloñ ko jagā de sher ke e.ajāz se
ḳhirman-e-bātil jalā de sho.ala-e-āvāz se
ai ki tera murgh-e-jaan tar-e-nafas mein hai asir
ai ki teri ruh ka tair qafas mein hai asir
is chaman ke naghma-pairaon ki aazadi to dekh
shahr jo ujDa hua tha us ki aabaadi to dekh
fikr rahti thi mujhe jis ki wo mahfil hai yahi
sabr-o-istiqlal ki kheti ka hasil hai yahi
sang-e-turbat hai mera girwida-e-taqrir dekh
chashm-e-baatin se zara is lauh ki tahrir dekh
muddaa tera agar duniya mein hai talim-e-din
tark-e-duniya qaum ko apni na sikhlana kahin
wa na karna firqa-bandi ke liye apni zaban
chhup ke hai baiTha hua hangama-e-mahshar yahan
wasl ke asbab paida hon teri tahrir se
dekh koi dil na dukh jae teri taqrir se
mahfil-e-nau mein purani dastanon ko na chheD
rang par jo ab na aaen un fasanon ko na chheD
tu agar koi mudabbir hai to sun meri sada
hai dileri dast-e-arbab-e-siyasat ka asa
arz-e-matlab se jhijak jaana nahin zeba tujhe
nek hai niyyat agar teri to kya parwa tujhe
banda-e-momin ka dil bim-o-riya se pak hai
quwwat-e-farman-rawa ke samne bebak hai
ho agar hathon mein tere KHam-e-mojiz raqam
shisha-e-dil ho agar tera misal-e-jam-e-jam
pak rakh apni zaban tilmiz-e-rahmani hai tu
ho na jae dekhna teri sada be-abru
sone walon ko jaga de sher ke eajaz se
KHirman-e-baatil jala de shoala-e-awaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.