saza
jāgte sote lamhoñ kī darzoñ se hotī huī
mausamoñ ke badalne kī dhīmī khanak
ba-dastūr kānoñ meñ aatī rahī
aur vo be-ḳhabar
apnī hī zaat ke
nichle goshe meñ baiThā huā
āsmāñ par sitāroñ kī har chaal ko
apnī taqdīr kā faisla maan kar
auñdhe muñh
be-yaqīnī ke pairoñ pe rotā rahā
aur ‘aqīdoñ ke hoñToñ kī bejā hañsī
qahqaha ban ga.ī
jagte sote lamhon ki darzon se hoti hui
mausamon ke badalne ki dhimi khanak
ba-dastur kanon mein aati rahi
aur wo be-KHabar
apni hi zat ke
nichle goshe mein baiTha hua
aasman par sitaron ki har chaal ko
apni taqdir ka faisla man kar
aundhe munh
be-yaqini ke pairon pe rota raha
aur ‘aqidon ke honTon ki beja hansi
qahqaha ban gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.