scape-ism
chal ki sad-chāk-e-garebāñ vahāñ ho aate haiñ
ye jo hañgāma-e-hastī hai zarā der ko chhoḌ
ek be-ant masāfat ke udhar baiThte haiñ
yaad karte haiñ parī-ḳhānoñ kī talḳhābī ko
apnī āzurda tamannāoñ pe ro lete haiñ
gard meñ rakkhe hue ashk fasurda chehre
ga.e vaqtoñ kā tazabzub na.e vaqtoñ kā azaab
aa ki shānoñ se girā aate haiñ us paar kahīñ
is se pahle ki yahāñ sail-e-fanā aa nikle
naam letā huā donoñ kā usī shor ke biich
vaqt ke paar jahāñ-zād kī dahlīz ke saath
ashk rote haiñ masāfat kā bharam rakhte haiñ
chal ki sad-chāk-e-garebāñ vahāñ ho aate haiñ
chal ki sad-chaak-e-gareban wahan ho aate hain
ye jo hangama-e-hasti hai zara der ko chhoD
ek be-ant masafat ke udhar baiThte hain
yaad karte hain pari-KHanon ki talKHabi ko
apni aazurda tamannaon pe ro lete hain
gard mein rakkhe hue ashk fasurda chehre
gae waqton ka tazabzub nae waqton ka azab
aa ki shanon se gira aate hain us par kahin
is se pahle ki yahan sail-e-fana aa nikle
nam leta hua donon ka usi shor ke bich
waqt ke par jahan-zad ki dahliz ke sath
ashk rote hain masafat ka bharam rakhte hain
chal ki sad-chaak-e-gareban wahan ho aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.