Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

school jo hota

Ziyaurrahman Jafari

school jo hota

Ziyaurrahman Jafari

MORE BYZiyaurrahman Jafari

    jangal meñ schōl jo hotā

    kyoñ andhere meñ ye sotā

    paḌhte likhte aur samajhte

    sher kisī ḳhuun na karte

    achchhe se paḌh letā bandar

    ban jaatā phir ek collector

    chyūñTī p h d kar letī

    aur college meñ lecture detī

    ullū itnā phir na hotā

    home-work us bhī hotā

    saj kar titlī maktab jaatī

    aur bhī apnā rutba paatī

    aatī jab schōl gaaḌī

    baiThte saare baarī baarī

    yahīñ kahīñ par Tuition hotā

    nahīñ zarā bhī tension hotā

    billī chūhā aur chhipkalī

    aage paḌhne jaatī dillī

    hāthī paḌh kar jaan ye jaate

    nahīñ ye itnā jism phulāte

    koī bantā paḌh kar teacher

    koī us se aur bhī behtar

    kahāñ ye phir to jangal hotā

    sab jangal meñ mangal hotā

    jangal mein school jo hota

    kyon andhere mein ye sota

    paDhte likhte aur samajhte

    sher kisi ka KHun na karte

    achchhe se paDh leta bandar

    ban jata phir ek collector

    chyunTi p h d kar leti

    aur college mein lecture deti

    ullu itna phir na hota

    home-work us ka bhi hota

    saj kar titli maktab jati

    aur bhi apna rutba pati

    aati jab school ki gaDi

    baiThte sare bari bari

    yahin kahin par Tuition hota

    nahin zara bhi tension hota

    billi chuha aur chhipkali

    aage paDhne jati dilli

    hathi paDh kar jaan ye jate

    nahin ye itna jism phulate

    koi banta paDh kar teacher

    koi us se aur bhi behtar

    kahan ye phir to jangal hota

    sab jangal mein mangal hota

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now