sehre ki laDi
mahak phūloñ aur kaliyoñ kī laḌī sehre meñ hai
pyaar ke gulshan kī saarī dilkashī sehre meñ hai
maañ kī mamtā baap kī shafqat buzurgoñ kī duā
aur bahnoñ kī mohabbat thī sajī sehre meñ hai
saare gurūoñ kī hai kirpā saare santoñ kī duā
zindagī meñ kār-āmad rāstī sehre meñ hai
aaj yaktā ho gayā hai pyaar kā husn-o-jamāl
aaj sābit ho gayā hai zindagī sehre meñ hai
ik na.ī āvāz le kar aa gayā hai mālkauñs
ik na.e andāz meñ shiv-ranjinī sehre meñ hai
hai zamīñ kā chāñd kaisā maiñ bhī dekhūñ to zarā
chāñd kī har ik kiran bhī jhāñktī sehre meñ hai
duuje ko apnā banānā dil meñ rakhnā umr-bhar
ye karishma aur ye jādūgarī sehre meñ hai
zindagī-bhar mil ke gā.eñge jise ye donoñ dil
pyaar kī vo mīThī-mīThī rāgnī sehre meñ hai
mahak phulon aur kaliyon ki laDi sehre mein hai
pyar ke gulshan ki sari dilkashi sehre mein hai
man ki mamta bap ki shafqat buzurgon ki dua
aur bahnon ki mohabbat thi saji sehre mein hai
sare guruon ki hai kirpa sare santon ki dua
zindagi mein kar-amad rasti sehre mein hai
aaj yakta ho gaya hai pyar ka husn-o-jamal
aaj sabit ho gaya hai zindagi sehre mein hai
ek nai aawaz le kar aa gaya hai malkauns
ek nae andaz mein shiw-ranjini sehre mein hai
hai zamin ka chand kaisa main bhi dekhun to zara
chand ki har ek kiran bhi jhankti sehre mein hai
duje ko apna banana dil mein rakhna umr-bhar
ye karishma aur ye jadugari sehre mein hai
zindagi-bhar mil ke gaenge jise ye donon dil
pyar ki wo miThi-miThi ragni sehre mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.