self made logon ka alamiya
self made logoñ kā alamiya
raushnī mizājoñ kā kyā ajab muqaddar hai
zindagī ke raste meñ bichhne vaale kāñToñ ko
raah se haTāne meñ
ek ek tinke se āshiyāñ banāne meñ
ḳhushbueñ pakaḌne meñ gulistāñ sajāne meñ
umr kaaT dete haiñ
umr kaaT dete haiñ
aur apne hisse ke phuul baañT dete haiñ
kaisī kaisī ḳhvāhish ko qatl karte jaate haiñ
darguzar ke gulshan meñ abr ban ke rahte haiñ
sabr ke samundar meñ kashtiyāñ chalāte haiñ
ye nahīñ ki un ko is roz-o-shab kī kāhish kā
kuchh sila nahīñ miltā
marne vaalī aasoñ kā ḳhūñ-bahā nahīñ miltā
zindagī ke dāman meñ jis qadar bhī ḳhushiyāñ haiñ
sab hī haath aatī haiñ
sab hī mil bhī jaatī haiñ
vaqt par nahīñ miltīñ vaqt par nahīñ ātīñ
yaanī un ko mehnat kā ajr mil to jaatā hai
lekin is tarah jaise
qarz kī raqam koī qist qist ho jaa.e
asl jo ibārat ho pas navisht ho jaa.e
fasl-e-gul ke āḳhir meñ phuul un ke khulte haiñ
un ke sahn meñ sūraj der meñ nikalte haiñ
self made logon ka alamiya
raushni mizajon ka kya ajab muqaddar hai
zindagi ke raste mein bichhne wale kanTon ko
rah se haTane mein
ek ek tinke se aashiyan banane mein
KHushbuen pakaDne mein gulistan sajaane mein
umr kaT dete hain
umr kaT dete hain
aur apne hisse ke phul banT dete hain
kaisi kaisi KHwahish ko qatl karte jate hain
darguzar ke gulshan mein abr ban ke rahte hain
sabr ke samundar mein kashtiyan chalate hain
ye nahin ki un ko is roz-o-shab ki kahish ka
kuchh sila nahin milta
marne wali aason ka KHun-baha nahin milta
zindagi ke daman mein jis qadar bhi KHushiyan hain
sab hi hath aati hain
sab hi mil bhi jati hain
waqt par nahin miltin waqt par nahin aatin
yani un ko mehnat ka ajr mil to jata hai
lekin is tarah jaise
qarz ki raqam koi qist qist ho jae
asl jo ibarat ho pas nawisht ho jae
fasl-e-gul ke aaKHir mein phul un ke khulte hain
un ke sahn mein suraj der mein nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.