self-portrait
ek bahut ajiib aur gahrī shaam meñ
maiñ ne
zaḳhmī parinde ko dīvār kī muñDer par
sustāte hue dekhā
us kī āñkheñ niklī paḌ rahī thiiñ
aur zabān bāhar nikal aa.ī thī
maiñ ne is se pahle bhī
aisā manzar kahīñ dekhā thā
merī yād-dāsht bahut ḳharāb hai
mujhe kuchh yaad nahīñ rahtā
haañ
na.e manzaroñ se miltā jultā
koī purānā manzar
mujhe yaad aatā hai
aise hī kisī manzar meñ
us parinde kī hālat se
miltī-jultī
ek laḌkī kī tasvīr
maiñ ne
kāġhaz par banānā chāhī
lekin parinda uḌ gayā
aur laḌkī
barahna ho ga.ī
ek bahut ajib aur gahri sham mein
main ne
zaKHmi parinde ko diwar ki munDer par
sustate hue dekha
us ki aankhen nikli paD rahi thin
aur zaban bahar nikal aai thi
main ne is se pahle bhi
aisa manzar kahin dekha tha
meri yaad-dasht bahut KHarab hai
mujhe kuchh yaad nahin rahta
han
nae manzaron se milta julta
koi purana manzar
mujhe yaad aata hai
aise hi kisi manzar mein
us parinde ki haalat se
milti-julti
ek laDki ki taswir
main ne
kaghaz par banana chahi
lekin parinda uD gaya
aur laDki
barahna ho gai
- Book : Meez per rakhe haath (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.