self-portrait
dekhā hai kisī ne use kahīñ
aadhe sar meñ uljhe uljhe ujle baal
sāñvle rañg ke chehre par bhī
ujle bāloñ kā bhauñchāl
us kī sūrat
kabhī kabhī malgajī shaam sī
kabhī sahar nūrānī hai
andhiyāre ujiyāle kī ye sūrat fann-e-lā-fānī hai
peshānī ke ā.īne par mar-miTte lākhoñ ākāsh
dīvānī dīvānī āñkheñ
aur bahut be-sabr nigāheñ
dushT-manoñ ke har patthar meñ
priit aur komaltā kī talāsh
us ke tan par garm kafan aur ThanDī kafanī sajtī hai
sachchā ruup hai pāgal-pan kā behad ajiib hastī hai
mast anek nashoñ meñ us ke sab din aur sab rāteñ
us ke bahke qadam kareñ dhartī ke dil se bāteñ
galī galī meñ chaurāhe par bhiiḌ ho yā ho tanhā.ī
is duniyā ke hosh kar parkhe, nashe meñ us kī bīnā.ī
dekhā hai kisī ne use kahīñ
dekha hai kisi ne use kahin
aadhe sar mein uljhe uljhe ujle baal
sanwle rang ke chehre par bhi
ujle baalon ka bhaunchaal
us ki surat
kabhi kabhi malgaji sham si
kabhi sahar nurani hai
andhiyare ujiyale ki ye surat fann-e-la-fani hai
peshani ke aaine par mar-miTte lakhon aakash
diwani diwani aankhen
aur bahut be-sabr nigahen
dushT-manon ke har patthar mein
prit aur komalta ki talash
us ke tan par garm kafan aur ThanDi kafani sajti hai
sachcha rup hai pagal-pan ka behad ajib hasti hai
mast anek nashon mein us ke sab din aur sab raaten
us ke bahke qadam karen dharti ke dil se baaten
gali gali mein chaurahe par bhiD ho ya ho tanhai
is duniya ke hosh kar parkhe, nashe mein us ki binai
dekha hai kisi ne use kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.