shair
aaTh arab ābādī meñ vo
baat nahīñ kar saktā hai
zinda murda logoñ meñ vo
tanhā.ī kā maarā hai
kis tahzīb kī miTTī le kar
galiyoñ galiyoñ phirtā hai
an-dekhī duniyāoñ kā vo
paaTh paḌhātā rahtā hai
man kī duniyā bāñTtā hai aur
saaz banātā rahtā hai
saaz ki jis meñ
amn kī ghanTī bajtī hai
amn ki jis ke saa.e meñ
kuchh ḳhuun kī nadiyāñ bahtī haiñ
vo dekhtā hai aur kahtā hai
jo aag hamāre sīnoñ ko
ḳhākistar karne aa.ī thī
vo aag hamāre sīnoñ meñ
angārā ban kar jaltī hai
aaTh arab aabaadi mein wo
baat nahin kar sakta hai
zinda murda logon mein wo
tanhai ka mara hai
kis tahzib ki miTTi le kar
galiyon galiyon phirta hai
an-dekhi duniyaon ka wo
paTh paDhata rahta hai
man ki duniya banTta hai aur
saz banata rahta hai
saz ki jis mein
amn ki ghanTi bajti hai
amn ki jis ke sae mein
kuchh KHun ki nadiyan bahti hain
wo dekhta hai aur kahta hai
jo aag hamare sinon ko
KHakistar karne aai thi
wo aag hamare sinon mein
angara ban kar jalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.